Yeh haqeeqat hai ke waqt aik anmol aur intehai qeemti cheez hai aur esay fuzool kamon mein guzaar dena nihayat nuqsaan aur ghatay ka soda hai. Waqt aesi cheez hai keh jis ka hum istemaal kar ke aala se aala maqam aur behtar se behtar zindagi haasil kar satke hain.
Eski misaal aesi hai keh jaisay aik insaan ke paas qeemti motiyon ka haar ya thela ho jis ki qeemat es qader ziyada hai keh agar yeh un ko beech day to saari Umar ayashi ki zindagi guzaar sakta hai. Waqt ka maamla bhi aesa hi hai ke waqt insaan ke liye un motiyon se bhi ziyada qeemti hai.
Eski qader anmol motiyon se kam es liye nahi keh en lamhaat ko agar aik insaan achay kamon mein kharch karta hai, to isko umdah aur behtareen sila kamyabi ki soorat mein kuch arsa baad mil hi jata hai. Kamyabi aik aisa sila hai ke is ko zaya karna dunyawi shaan o Shaukat ko zaya karne se barh kar hai.
Waqt ki Ahmiyat
Yeh aisi Nemat hai jo har insaan ko barabar millti hai, Ameer ho ya ghareeb ho sab ko din aur raat ka aik hi waqt milta hai, aesa nahi hai keh kisi ko kam miley ya kisi ko ziyada. Waqt ki ahmiyat ka andaza Quran e Pak ki en ayaat se bakhoobi lagaya ja sakta hai:
Tarjuma : Zamane ki qisam, Bay shak aadmi zaroor khasaray mein hai, Magar jo imaan laaye aur unhon ne achay kaam kiye aur aik dosray ko haq ki takeed ki aur aik dosray ko sabr ki wasiyat ki. [1]Al-Asr
Be shak waqt insaan ka qeemti sarmaya hai insaan ko chahiye ke woh esko Allah pak ki itaat o farmabardari mein guzaray aur achay kaam kary.
Waqt ki Ahmiyat par Ahadees
Waqt ki ahmiyat ko samajhney ke liye Nabi Kareem ﷺ ka yeh farmaan mubarak kaafi hai. Rasool Kareem ﷺ ne 1 shakhs ko naseehat karte hue irshad farmaya:
5 cheezon ko 5 cheezon se pehlay ghanemat jano, Apni jawani ko apne burhapay se pehlay aur Apni sehat ko apni bemari se pehlay aur doulat mandi ko gurbat se pehlay aur Apni faraghat ko apni mashghooliat se pehlay aur apni zindagi ko apni mout se pehlay. [2]Shob-ul-Iman, 9767
Jo shakhs is hadees ko apne samnay rakhtay hue koshish kary ga to zaroor kamyab hoga aur duniya aur akhirat mein pachtane se mehfooz rahay ga.
Rasool Allah ﷺ ne aik aur maqam par irshad farmaya: Har roz subah ko jab suraj tulu hota to os din yeh elaan karta hai, jo naik amal karne ki istetat rakhta hai woh naik amal karle main phir kabhi lout kar nahi aon ga. [3]Jam’ul Jawami
Hamaray aslaaf ki Zindagi
Haqeeqat yeh hai ke hamaray aslaaf waqt ka istemaal Allah aur oske Rasool ﷺ ki itaat mein guzartay thay yahi wajah hai ke un ka naam ab bhi hum ko tareekh ke safhaat mein milta hai. Jaisa keh Hazrat Umar رضی اللہ عنہ yeh dua kiya karte thay keh “Ae Allah hum tujh se zindagi ke lamhaat ki behtari aur auqaat mein barket ka sawal karte hain.”
Hazrat Ali رضی اللہ عنہ farmaya karte thay ke “Yeh ayyaam tumhari umroon ke saheefay hain achay aamaal se enko Dwam do.”
Hamaray aslaaf ki zindagi se hum ko yahi dars milta hai keh hum bhi apne waqt ki qader karen aur waqt ka istemaal Allah ki itaat aur is ke Rasool ﷺ ki farmabardari mein guzaraian. Duniya o akhirat mein kamyabi haasil karne ka yahi zareya hai. Allah pak se dua hai ke woh hamein waqt ka qader daan banaye aur esay achay kamon mein guzaarne ki tofeq ataa farmaiye. Aamen
Hawala Jaat