Corona virus china ke shehar” Wuhan” Hubei soobah mein decemeber 2019 mein samnay aaya. Aur ab yeh international satah tak phail chuka hai. Hamaray mulk Pakistan mein bhi Corona virus ke kayi mareezon ki nishandahi ho chuki hai. Yeh corona virus Allah pak kay azaab ki soorat bhi ho sakti hai. Hamein –apne aamaal par ghhor karna hai. Apni zindagion ko ba maqsad banayen aur is terhan guzaren ke koi bhi lamha Allah pak ki farmabardari se khaali nah guzray.
Aaj se kuch arsa pehlay agar aap ghhor karen ya –apne walidain se poucheen to aap ko yeh baat suneney ko miley gi. Keh jab pehlay kabhi is terhan ki koi wabai bemari, afsos naak khabar ya zalzala waghera aata to log masjidoon, jaye namazon ka rukh karte thay. Quran pak ki talawat aur dua o istighfar karte thay. Aur aaj bad qismati se hum social media aur news channels ka rukh karte hain. Apne gharon mein baith kar khud ko Saif mehsoos kar ke bajaye tauba o istighfar karne ke usi terhan mamool ke mutabiq Allah pak ki nafarmani jari rakhtay hain.(معاذ اللہ)
Yaad rakhen woh jab girift farmata hai to phir mohlat nahi deta. Aur oski pakarr barri shadeed dard naak hai.[1]ھود: 102 Woh kisi par zarah barabar bhi zulm nahi farmata.[2]النسآء، 40 Yeh hamaray –apne hi gunaaho ki sazayen hain. Gunahon ki wajah se log hazaron qisam ki pareshaniyon mein mubtala ho jatay hain aur inn pareshaniyon mein mubtila hona is liye hai keh Allah pak akhirat se pehlay duniya mein hi baaz buray kamon ka maza chakhaye taa keh log kufar aur gunahon se baaz aa jayen aur in se touba kar len. [3]…مدارک، الروم، تحت الآیۃ: ۴۱، ص۹۱۰، جلالین، الروم، تحت الآیۃ: ۴۱، ص۳۴۴، ملتقطاً۔
Hamari Harkaton ka hum par wabal
Aap is baat se andaza lagayen ke hum apni kin kin harkaton ki wajah se kin kin masail ka shikaar hotay hain. Saheh Ahadees se bhi saabit hai keh kisi qoum mein elania bay hayai phail janay ki wajah se un mein taoon aur woh bemariyan aam ho jati hain jo pehlay kabhi zahir nah hui theen. Naap toal mein kami karne ki wajah se qehat aata, museebatein nazil hoti aur zalim hukmaran muqarar hotay hain. zakat nah dainay ki wajah se barish rukti hai, agar zameen par chopaye nah hotay to aasman se pani ka aik qatra bhi nah girta.
Allah pak aur us ke rasool ka ehad torrnay ki wajah se dushman musallat ho jata hai. Logon ke malon par jabri qabza karne ki wajah se aur Allah pak ki kitaab ke mutabiq hukmraanon ke faislay nah karne ki wajah se logon ke darmiyan qatal o ghaarat giri hoti hai [4]ابن ماجہ، کتاب الفتن، باب العقوبات، ۴/۳۶۷، الحدیث: ۴۰۱۹۔ aur sood khori ki wajah se zalzalay atay aur shakalain baggarr jati hain. [5]روح البیان، الروم، تحت الآیۃ: ۴۱، ۷/۴۶-۴۷، ملخصاً۔
Fi Zamana Hamari Surat e Haal
In ayaat aur ahadees ke khlase ko mad e nazar rakhtay hue agar hum mojooda surat_e_ haal par ghor karen. Keh fi zamana bay hayai aam hona, naap toal mein kami karna, logon ke amwal par jabri qabzay karna, zakat nah dena, juaa aur sood khori waghera, algaraz woh konsa gunah hai jo hum mein aam nahi. aur shaed inhi aamaal ka nateeja hai ke aaj kal log aids, cancer, Corona virus aur deegar jaan lewa amraz mein mubtala hain, zalim hukmaran inn par muqarar hain, barish ruk janay ya had se ziyada anay ki aafat ka yeh shikaar hain, dushman in par musallat hotay jaa rahay hain, qatal o ghaarat giri in mein aam ho chuki hai, zalzalon, tufanoon aur selaab ki musibaton mein yeh phansay hue hain, tijarti khasaray aur har cheez mein be barkati ka rona yeh ro rahay hain.
Lehaza hamein chahiye ke hum –apne gunaaho se touba karen. Aur in harkaton se baaz aa jayen aur jitna ho sakay Allah pak se dua o istighfar karen. Is bemari se hifazat ki dua aur is bemaris ey hifazat key aurad ka vird bhi jari rakhen. Is ke sath sath iski ahtyati tadabeer bhi ikhtiyar karen (Jin ko hum ney apni dusri tehreer “Coronavirus in Urdu” mein daal diya hai).
Hum par aanay wali Museebaton ka sabab
Yaad rakhen duniya mein jo takleifein aur museebatein momnin ko pahunchti hain aksar un ka sabab in ke gunah hotay hain, Un taklifon ko Allah pak in ke gunaahon ka kaffara kar daita hai aur kabhi momin ki takleef os ke darjaat ki bulandi ke liye hoti hai. Aur hamara kareem Rab bohat kuch to maaf farma daita hai.[6]الشورٰی، 30
An important message
Aik zurori baat hadees e pak mein aaya hai
Jab logon ko wabai mout puhanche aur tum un mein ho to saabit qadam raho.۔[7]مرآۃ المناجیح شرح مشکوٰۃ المصابیح ،جلد اول،باب الکبائر، الفصل الثالث، حدیث: 59
Yani jahan tum ho wahan taoon waghera koi bemari phail jaye to wahan se bhago mat. Taa keh wahan ke murday be goro kafan aur bemaar be yaar o madadgaar nah reh jayen. Aur jahan nahi ho wahan jao mat, keh Rab تعالیٰ farmata hai :
–Apne hathon khud ko halakat mein nah daalo.[8]البقرۃ، 195
Allah kareem hamaray haal par reham farmaiye. Aur Allah pak hamein har tarhan ke gunaaho aur unkay asbaab se mehfooz farmaiye. Aur apni bigrri amli haalat sudharnay ki tofeeq ataa farmaye. Aamen
Hawala Jaat