Bani israel jinhain hum yahoodi bhi kehtay hain. Pichlay zamanay mein pasandeeda qom thi. Lekin yahoodi qom nay Allah ki boht nafarmani ki. Jiski waja say Yahodi qom par Azab aya. Yahodi qom par azab ka ik qissa darj zail hai.
Rivayet hai keh Hazrat Dawood ki qoum ke 70,000 aadmi thy . Jo “Uqba” ke paas samandar ke kinare “Eela” nami gaon mein rehtay they. Aur yeh log barri khushhali ki zindagi basar karte they. Allah pak ney unn logon ka is terhan imthehaan liya keh haftay (Saturday) ke din machli ka shikaar un logon par haram farma diya. Haftay ke baqi dinon mein shikaar halal farma diya.
Is terhan, unn logon ko azmaish mein mubtala farma diya keh haftay ke din be shumaar machhliyan aati theen aur dusray dinon mein nahi aati theen. To shaitan naay unn logon ko yeh heela bata diya keh samandar sey kuch naalian nikaal kar khushki mein chand hoz bana lo.
Jab haftay ke din unn nalion ke zariye machhliyan hoz mein aa jaya karain. To nalion ka moun band kar do. Is din shikaar nah karo balkay dosray din aasani ke sath unn machhliyon ko pakar lo. Un logon ko yeh shaitani heela baazi pasand aa gai.
Unn logon naay yeh nahi socha ke jab machhliyan nalion Aur hozon mein qaid ho gayeen to yahi unn ka shikaar ho gaya. To haftay hi ke din shikaar karna paaya gaya jo unn ke liye haram tha is moqay par yahoodion kay teen giroh ho gaye.
Girohon ki Tafseel
- Kuch log aesy thy jo shikaar kay is shaitani heelay say mana kartay rahay. Naraz o bezaar ho kar shikar say baaz rahay.
- Kuch log is kaam ko dil say bura jan kar khamosh rahay. Dusron ko mana nahi karty thy. Balkay mana karnay walo say kehtay thay. Tm log aesi qom ko nasihat kartay ho jinhain khuda halak karnay wala hay or sakht saza dene wala hay.
- Aur kuch woh sarkash o nafarman log thay jinhon nay hukum e khuda wandi ki elania mukhalfat ki. Shaitan ki heela baazi ko maan kar haftay ke din shikaar kar liya aur un machhliyon ko khaya aur baicha bhi.
Nafarmaan yahoodi qom Ka Shikar Karna
Jab nafarmanon nay mana karne ke bawajood shikaar kar liya to mana karne wali jamaat nay kaha ke ab hum un shikar karnay walon se koi mil milaap nah rakhen gey chunancha un logon nay gaon ko taqseem kar ke darmiyan mein aik deewar bana li aur aamad o raft ka aik allag darwaaza bhi bana liya.
Hazrat Dawod علیہ السلام nay ghazab naak ho kar shikaar karne walon par laanat farma di. Is ka assar yeh howa keh aik din khatakaron mein se koi bahar nahi nikla. To unhen dekhnay ke liye kuch log deewar par charh gaye to kya dekha keh woh sab bandaron ki soorat mein maskh ho gaye hain.
Ab log un mujrimon ka darwaaza khol kar andar daakhil hue to woh bandar apne rishta daaron ko pehchante they aur un ke paas aa kar un ke kaprron ko soonghtay they aur zaar o zaar rotay they, magar log un bandar ban jaane walon ko nahi pehchante they. Un bandar ban jaane walon ki tadaad 12000 thi.
Yeh sab 3 din tak zindah rahay aur is darmyian mein kuch bhi kha pi nah sakay balkay youn hi bhukay piyasy sab ke sab halaak ho gaye. Shikaar se mana karne wala giroh halakat se salamat raha. Aur sahih qoul yeh hai keh dil se bura jaan kar khamosh rehne walon ko bhi Allah pak nay halakat say bacha lia.[1]tafseer as saawi ,jild 1, page 72 ,para 1, al baqarah 65
Tarjuma kanz ul imaan: Aur be shak zaroor tumhain maloom hai tum ke woh jinhon ney hafta mein sar kashi ki. To hum ney un se farmaya keh ho jao bandar dhutkare hue. [2] para 1, al-baqrah : 65
Qurani Ayat Main Tafseeel
Dars hidaayat
Ashaab e Eela ke is dil hila dainay walay waqia mein. Har musalman ke liye bohat barri ibraton aur nasihaton ka samaan hai. Kash! is waqia se musalmanoon ke dilon mein khuda kay khof ki lehar peda ho jaye. Woh Allah o Rasool ﷺ, ki nafarmanion mein bhatakne se moun morr kar. Sirat e mustaqeem ki shahrah par chal parren . Dono jahanon ki kamyabi se Sarfaraz ho kar aizaz o ikram ki saltanat ke tajdar ban jayen.
Hawala Jaat