Hamari Zindagi ka maqsad

Zindagi ka Maqsad Image

Allah pak ka quran azeem mein irshad hota hai :

وَ مَا خَلَقْتُ الْجِنَّ وَ الْاِنْسَ اِلَّا لِیَعْبُدُوْنِ(۵۶)

Tarjuma kanz al irfan : Aur main ney jinn aur aadmi isi liye banaye ke meri ibadat karen.[1]Parah 27, surah الذریة, aayat 56

Aik aur jagah irshad baari hai :

الَّذِیْ خَلَقَ الْمَوْتَ وَ الْحَیٰوةَ لِیَبْلُوَكُمْ اَیُّكُمْ اَحْسَنُ عَمَلًاؕ۔
Tarjuma kanz al irfan : Woh jis ney mout aur zindagi ko peda kiya taakeh tumhari azmaish kare keh tum mein kon ziyada achay amal karne wala hai.[2]Parah 29, surah al-mulk, aayat 2

In ayaat qurani ki roshni mein yeh baat maloom hui keh takhleeq e insani ka maqsad bandagi o ibadat karna hai agar koi is maqsad par karband rahay to woh dunya o akhrat mein kamyab hoga. Lekin insan ko Allah pak aazmata hai jo kamyaab ho gaya woh Falah pa gaya aur jo nakaam hua woh na muraad hua.

WhatsApp Group (Join Now) Join Now
YouTube Channel (Subscribe Now) Subscribe

Chunacheh Allah pak irshad farmata hai :

الٓمّٓۚ(۱) اَحَسِبَ النَّاسُ اَنْ یُّتْرَكُوْۤا اَنْ یَّقُوْلُوْۤا اٰمَنَّا وَ هُمْ لَا یُفْتَنُوْنَ(۲)

Tarjuma kanz al irfan : الم. Kya logon ny yeh samajh rakha hai keh unhen sirf itni baat par chore diya jaye ga keh woh kehte hain hum “imaan laaye” aur unhen aazmaaya nahi jaye ga?[3]Parah 20, surah ankboot, aayat number 1, 2

Yeh aayat musalmanoon ko hooshiyar kar rahi hai keh dekho kalma goi aur zabani duaye musalmani par tumhara chhutkara na hoga. Haan haan suntay ho! Aazmaye jao gey, azmaish mein pooray niklay to musalman thehro gey.

Es maqsad ko haasil karne mein hamein 3 rukawaton ka saamna karna parta hai un teen rukawaton ka zikar hum apni aanay wali tehreeron mein karen ge. Allah pak hamein ikhlaas ke sath apne maqsad e hayaat ko poora karne ki tofeeq ataa farmaiye. Aameen

5/5 - (1 vote)

Hawala Jaat[+]

One thought on “Hamari Zindagi ka maqsad

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *