Allah pak ne aik hi martaba looh e mehfooz mein taqdeer likh di hai ab shab e barat ki raat os looh e mehfooz mein se copy kar ke aik saal car register firshton ke hawalay kar diya jata hai. Jaisa keh agar kisi shakhs ki aik saal ke andar shadi bhi hai aur kaarobar mein taraqqi bhi hai, Oska aik bohat barra safar bhi hai, Os ne Hajj bhi karna hai aur Os ne makaan bhi banana hai.
Yeh 5 kaam oski taqdeer mein likhay hain to Allah pak ka yeh likha hua pehlay mojood hai lekin aaj ki raat os mein se naqal kar ke firshton ke register mein usay muntaqil kar diya jata aur firshton ke hawalay kar diya jata hai. Lehaza taqdeer naye siray se banai nahi jati balkay pehlay se likhi hui apni jagah mojood hai aur firshton ke hathon mein oski doosri copy likh kar di jati hai.