Har shakhs ki Umar muqarrar hai nah os se ghatay, nah barhay. Jab woh Umar poori ho jati hai to malak ul mout علیہ السلام os ki jaan nikaal lety hen. Mout ke waqt marnay walay ke daien , baien jahan tak nazar jati hai farishtay hi farishtay dikhai dete hain.
Musalman ke paas Rahmat ke farishtay, kafir ke paas azaab ke. Musalmano ki rooh ko farishtay izzat ke sath le jate hain aur kafiroon ki rooh ko farishtay hiqarat ke sath le kar jatay hain.
Rouhon ke rehne ke liye maqamat muqarrar hain naikon ke liye alehda aur badon ke liye alehda. Magar woh kahin ho, jism se un ka talluq baqi rehta hai. Is ki aeza se un ko takleef hoti hai. Qabar par anay walay ko dekhte hain, os ki aawaz suntay hain. Merney ke baad rooh kisi dosray badan mein jaa kar phir nahi peda hoti, yeh jahilana khayaal hai, isi ko aawagoon kehte hain.
Mout yahi hai ke rooh jism se juda ho jaye lekin juda hokar woh fanaa nahi ho jati. Dafan ke baad qabar murdy ko dbati hai. Jab dafan karne wale dafan kar ke wapas ho jatay hain to murda unke jouton ki aawaz santa hai. Os ke baad do farishtay zameen cherty atay hain un ki soorten draoni, ankhen nili kaali. Aik ka naam منْکرْ, dosray ka naam نکیْر hai. woh murdy ko utha kar bithatay hain aur is se sawal karte hain.
Qabar ke Sawalat
1.Tera rab kon hai ?
2.Tera deen kya hai ?
3.Huzoor ﷺ ki taraf ishara karke puchte hain to un ke haq mein kya kehta tha ?
Musalman jawab deta hai. mera rab Allah hai. mera deen islam hai. yeh Allah ke rasool hain .
Farishtay kehte hain hum jantay they ke to yahi jawab day ga phir is ki qabar farakh aur roshan kar di jati hai. Aasman se ek munnadi nida karta hai. Mere bande nay sach kaha. Is ke liye Janati farsh bichao, Jannati libas pehnao, jannat ki taraf darwazae kholo. Darwaze khol diye jate hain jis se jannat ki hawa aur khushbu aati rehti hai aur farishtay is se kehte hain ke ab to Aram kar.
Kafir un sawalon ka jawab nahi day sakta har sawal ke jawab mein kehta hai main nahi jaanta. Aasman se nida karne wala nida karta hai ke jhoota hai is ke liye aag ka bichona bichao, aag ka libas pehnao aur dozakh ki taraf ka darwaza khol do is se dozakh ki garmi aur lapat aati hai phir is par farishtay muqarrar kar diye jate hain jo lohe ke baray baray gurzon se martay hain aur azaab karte hain.