Qayamat ki nishaniyan mein se ek bari nishani ye bhi hai keh Suraj maghrib se taluh hoga. Jab aftab maghrib se taluh ho jay ga. To os waqt toba ka darwaza band kar diya jayega.
Phir kisi ka imaan lana qabil e qabool na hoga. Hamen har waqt Allah pak ki bargah mein tauba karte rehna chahiye. Aur apne gunahon ki maafi mangte rehna chahiye. Allah pak hum sub musalmano ki be hisab maghfirat farmaye.
Aftab ke Maghrib se tulu karne aur tauba ka darwaza band honay ki kefiyat bayan farmaiye
Rozana aftab bargah e Ilahi mein sajda kar ke izan chahta hai izan hota hai tab tulu karta hai. Qareeb Qayamat jab dabah tul arz niklay ga hasb mamool aftab sajda kar ke tulu honay ki ijazat chahay ga. Ijazat nahi milegi. aur hukum hoga ke wapas ja.
Tab aftab maghrib se tulu hoga aur nisf aasman tak aa kar lout jayega aur janib maghrib ghuroob karega. is ke baad badastoor sabiq mashriq se tulu kiya karega. Aftab ke maghrib se tulu karte hi tauba ka darwaza band kar diya jayega phir kisi ka imaan lana maqbool nah hoga .
Toba ka drwaza bnd hojany k bd jo log peda hongy kia unka eeman lana ya toba krna qbool ni hoga q k woto bd mn peda huwy