Islam lany ke baad sab se pehla farz namaz ki adaigi hai. Namaz ko ada karne ka aik makhsoos tarika hai. Jis ka ilm haasil karna har musalman par farz hai. Es tehreer mein namaz ka mukammal tarika bayan kiya jaye ga. Jo har musalman ko laazmi seekhna chahiye. Esy mukammal tavajja ke sath parheen aur is par amal karen.
Farmaan e Akhri Nabi ﷺ : Sab se ziyada hasrat qayamat ke din osko ho gi jisay duniya mein ilm haasil karne ka mauqa mila magar os ne haasil nah kiya aur os shakhs ko hogi jis ne ilm haasil kiya aur dosaron ne to os se sun kar naffa uthaya lekin es ne nah uthaya (Yani apne ilm par amal nah kiya). [1]1
Namaz ka Tarika
Ba wazu qibla ki taraf es terhan kharray hon ke dono paun ke panjoo mein 4 ungal ka faasla rahay aur donon haath kaanon tak le jaiyen keh angothay kaan ki lau se chhoo jayen aur ungelian nah mili hui hon nah khoob khuli balkay apni haalat par normal rakhen. Hatheliyan qibla ki taraf hon aur Nazar sajda ki jagah ho. Ab jo namaz ada karni hai oski niyat yani dil mein oska pakka iradah kijiyej sath hi zabaan se bhi keh lijiye ke ziyada acha hai.
Maslan niyat ki mein ne aaj ki Zahar ki 4 rakat farz namaz ki, agar bajmaat parh rahay hain to yeh bhi keh len peechay is imam ke ab takbeer e tehreema yani “اللہ اکبر” kehte hue haath neechay layiye aur naaf ke neechay es terhan bandhiye ke seedhi hatheli ki guddi ulti hatheli ke siray par aur beech ki 3 ungelian Ulti kalayi ki peeth par aur anghutha aur choti ungli kalayi ke aghal baghal hon. Ab es terhan Sana parhiye:
Sana
Tarjuma: Pak hai tu Ae Allah aur main teri hamd karta hon, Tera naam barket wala hai aur teri Azmat buland hai aur tairay siwa koi mabood nahi. Phir tawuz aur tasmia parhiye:
Tarjuma: Main Allah pak ki panah mein aata hon shaitan mardood se
Allah ke naam se shuru jo bohat meharban rehmat wala
Surah Fatiha
Phir mukammal Surah Fatiha parhiye:
Tarjuma: Sab khoobiyan Allah ko jo maalik saaray Jahan walon ka. Bohat meharban rehmat wala, Roz-e-Jaza ka maalik. Hum tujhi ko poojain aur tujhi se madad chahain. Hum ko seedha Rasta chala, Rasta un ka jin par tu ne ehsaan kiya, nah unka jin par ghazab hua aur nah behke huon ka.
Surah Fatiha khatam kar ke ahista se “Aamin” kahiye. Phir 3 ayaat ya aik barri aayat jo 3 choti aayton ke barabar ho ya koi sourat maslan surah ikhlaas parhiye:
Surah ikhlaas
Tarjuma: Tum fermao woh Allah hai woh aik hai. Allah be niaz hai. Nah uski koi aulaad aur nah woh kisi se peda hua aur nah us ke joor ka koi.
Ab “اللہ اکبر” kehte hue ruku mein jayie aur ghutnon ko is terhan hath se pakriye ke hatheliyan ghutnon par aur ungliyan Achi tarah pheli hui hon. Peeth bichi hui aur sar peeth ki seedh mein ho ooncha neecha nah ho aur nazar qadmon par ho. Kam az kam 3 baar ruku ki tasbeeh yani
Kahiye. Phir ye
kehte hue Bilkul seedhay kharray ho jaiye, Es kharray honay ko “Qoma” kehty hain. Agar aap akailey namaz parh rahay hain to es ke baad kahiye:
Tarjuma: Ae Allah! Ae Hamaray maalik! Sab khoobiyan tairay hi liye hain.
Sajday
Phir “اللہ اکبر” kehte hue es tarah sajday mein jaiye ke pehlay ghutney zameen par rakhiye phir haath phir dono hathon ke beech mein es terhan sar rakhiye keh pehlay naak phir peshani aur yeh khaas khayaal rakhiye ke naak ki noke nahi balkay haddi (Bone) lagey aur peshani zameen par jam jaye, nazar naak par rahay, Bazuon ko karwaton se, pait ko ranon se aur ranon ko pindliyon se juda rakhiye.
Haan agar jamat ke sath suff mein hon to baazu karwaton se lagaye rakhiye aur dono paun ki 10 unglyon ka rukh es terhan qibla ki taraf rahay ke dason unglyon ke pait [4]Yani ungliyon ke talwon ke ubhray hue hisse zameen par lagey rahen. Hatheliyan bichi rahen aur ungelian “Qibla ru” rahen magar kalaiyan zameen se lagi hui mat rakhiye aur ab kam az kam 3 bar sajday ki tasbeeh Parhiye.
’’ سُبْحٰنَ رَ بِّیَ الْاَعْلٰی‘‘[5]Pak hai Mera Parvardigar sab se Buland
Phir sar es terhan uttaeye ke pehlay peshani phir naak phir haath utheen. Phir seedha qadam khara kar ke uski ungliyan qibla rukh kar dijiye aur ulta qadam bichaa kar os par khoob seedhay baith jaiye aur hatheliyan bichaa kar ranon par ghutnon ke paas rkhiye ke dono hathon ki ungliyan qibla ki janib aur unglyon ke siray ghutnon ke paas hon.
Jalsa
Dono sajdon ke darmain bethnay ko jalsa kehte hain. Phir kam az kam aik baar سبحٰن اللہ kehnay ki miqdaar thehriye. (Es waqfa mein اَللّٰھُمَّ اغْفِرْلِی [6]“Yani Ae Allah pak! Meri mughfirat farma” Keh lena mustahib hai) phir “اللہ اکبر” kehte hue pehlay Sajday hi ki terhan dusra sajda kijiye. Ab esi terhan pehlay sar othaiye phir hathon ko ghutnon par rakh kar panjoo ke bal kharray ho jaiye. Uthte waqt baghair majaboori zameen par hath se take mat lagaye. Yeh aap ki aik rakat poori hui.
Doosri rakat ke bad Tashahhud
Ab doosri rakat mein
Parh kar الحمد aur sourat parhiye aur pehlay ki terhan ruku aur sajday kijiye, dosray sajday se sar uthany ke baad seedha qadam khara kar ke ulta qadam bichaa kar baith jaiye 2 rakat ke dosray Sajday ke baad baithna “Qada” kehlata hai. Ab qada mein tashahhud parhiye:
Tarjuma: Tamam qoli, faeli aur maali ibaadaten Allah pak hi ke liye hain. Salam ho aap par Ae Nabi! aur Allah pak ki rahmaten aur barkaten. Salam ho hum par aur Allah ke naik bandon par, main gawahi deta hon keh Allah pak ke siwa koi mabood nahi aur main gawahi deta hon keh Mohammad ﷺ oske bande aur Rasool hain.
Jab tashahhud mein lafz”لا” ke qareeb pohnchain to seedhay haath ki beech ki ungli aur anguthay ka halqa bana lijye aur choti ungli aur oske barabar wali ungli ko hatheli se mila lijye aur lafz”لا” kehte hi kalme ki ungli uttaeye magar is ko idher udhar mat hilaiye aur lafz “اِلَّا” par gira dijye aur foran sub ungliyan seedhi kar lijiye. Ab agar 2 se ziyada rakat padni hain to “اللہ اکبر” kehte hue kharray ho jaiye aur farz ya sunnaton ke hisab se agli 2 rakat puri kijye.
Phir 4 rakat poori karkay aakhri qada mein tashahhud ke baad Darood Ibrahimi parhiye:
Darood Ibrahimi
Tarjuma: Ae Allah! Darood bhej (Hamaray Sardar) Muhammad par aur unki aall par jis terhan tu nay darood bheja (Syeduna) Ibrahim par aur unki aall par, Be shak tu saraha hua buzurag hai. Ae Allah pak! barket nazil kar (Hamaray Sardar) MUhammad par aur unki aall par jis terhan tu ne barket nazil ki (Syeduna) Ibrahim aur unki aall par, Be shak tu saraha hua buzurag hai.
Namaz ka Ekhtataam
Phir koi si dua ye Dua E Masura parhiye, maslan yeh dua parh lijiye:
Tarjuma: Ae Allah ! Ae rab hamaray! Hamein duniya mein bhalai day aur hamen akhirat mein bhalai day aur hamein azab e dozakh se bacha.
Phir namaz khatam karne ke liye pehlay dayen (Right) kandhay ki taraf mun kar ke
kahiye aur isi terhan baen (Left) taraf. Ab namaz khatam hui. Yeh tha namaz ka tarika jo ke fiqa e Hanafi par hai. Allah pak hamein namaz ka tarika sekhne aur os par amal karne ki tofeeq ataa farmaiye. Aamen
Hawala Jaat