Riwayat ke mutabiq, ek Yahudi Labeed bin Aasim aur uski betiyon ne Rasoolullah ﷺ par jadu kiya tha, jis ka asar Aap ﷺ ke jism e paak par dekha gaya, lekin Allah ki meherbani se Aap ﷺ ke dil, aqal aur imaan par koi farq nahi pada. Chand din baad Hazrat Jibrael علیہ السلام ne Aap ﷺ ko bataya ke ek Yahudi ne jadu kia hai aur jadu ka samaan ek kunwan mein chhupa hua hai, jo ek pathar ke neeche dafan hai. [1]Sahih Muslim, 5703
Surah Al-Falaq aur Surah An-Naas ka Nuzool
Is ke baad Allah pak ne Surah Al-Falaq aur Surah An-Naas nazil farmaayi, jin mein kul 11 aayatein hain. Nabi Kareem ﷺ ne in aayaton ki tilawat ke zariye ek ek girah kholni shuru ki, jab tak ke sari girhein khul gayi aur Aap ﷺ ko mukammal shifa mil gayi. Baad mein jadu ka tamaam samaan dafan kar diya gaya.
Jadu ke khilaf Nabi ﷺ ka tareeqa
Ek hadith ke mutabiq, jo Bukhari aur Muslim mein aati hai, Rasoolullah ﷺ har raat sone se pehle apne haathon par Surah Al-Falaq aur Surah An-Naas parh kar dam karte, aur phir in haathon ko apne jism e mubarak par pherte. Yeh amal Aap ﷺ teen (3) martaba farmaate. [2]Tafseer Khazain-ul-Irfan, Safa 763, Para 30, An-Naas:6
Jadu aur Bimari ka Ilaaj
Agar dekha jaye, to Surah Al-Falaq aur Surah An-Naas jadu, buri nazar, aur doosri bimariyon ke liye behtareen ilaj hain. In suraton ko baar baar parh kar mareez par dam karein, aur khaane peene ki cheezon par dam kar ke mareez ko dijiye. In sha Allah har qisam ke jadu aur bimari ka asar khatam ho jaayega aur mareez tandurust ho jaayega.
Hawala Jaat