Insaan ki aankh mein aik maqnateesi taaqat hoti hai jo kisi ko apna bhi bana sakti hai aur kisi ki zindagi bhi tabah kar sakti hai. Yeh taaqat har insaan ki mukhtalif hoti hai. Kisi ki nazar ki yeh taaqat bohat hi taiz hoti hai jis ki wajah se agar woh kisi cheez ko tajjub ki nigah se dekhen to woh kharab ya khatam ho sakti hai. Aur agar kisi insaan par taajjub ki nigah dalain to woh bemaar ya barbad ho sakta hai. Yeh is qader khatarnaak hoti hai aur esay “Nazar e bad“, “Buri nazar” ya sirf “Nazar” bhi kaha jata hai.
Nazar bad ki Haqeeqat
Es ke baray mein kaha jata hai ke yeh insaan ko qabar tak le jati hai. Nazar haq hai iska saboot quran o ahadees se milta hai. Jaisakeh Quran Pak mein aik aayat hai :
Tarjuma : Aur beshak kafir jab quran suntay hain to aisay maloom hota hai ke goya apni aankhon se nazar laga kar tumhen zaroor gira den gey aur woh kehte hain : yeh zaroor aqal se daur hain. [1]Para 29, Al Qalam: 51
Es aayat se nazar ka saboot milta hai, Ahadees mein bhi esay bayan kiya gaya hai. Jaisa keh Nabi e Akram ﷺ ne irshad farmaya :
“Nazar ka lag jana durust hai.” [2]Bukhari, Al-Hadith : 5740 “Be shak nazar[3]ka asar yahan tak ho jata hai keh woh aadmi ko qabar mein daakhil kar deti hai aur Oont ko handiya mein daal deti hai.” [4]Masnad e Shahab, Al-Hadith: 1057
Aik aur maqam par irshad farmaya :
“Agar koyi cheez qaza aur qadar se aagay barh jati to nazar e bad aagay barh jati. [5]Imam Ahmed, Muslim
Nazar e bad se Hifazat ka Nuskha
Ouper zikar karda aayat hi nazar bad se bachney ke liye akseer hai. [6]Noor al irfan, P: 971 Es ke ilawa aik Hadees e pak mein Rasool Allah ﷺ ne irshad fermaya :
“Jo shakhs Surah e Fatiha aur Ayatul kursi apne ghar mein parhay ga to os din usko nah to kisi insaan ki nazar e bad lagey gi aur nah kisi jin ki.” [7]Al Luqtul Marjaan Fi Ahkam Ul Jaan, P: 156
Nazar bad ki Dua
Aik sahib ko nazar lag gayi to Huzoor Nabi e Kareen ﷺ ne un ke liye yeh dua farmai:
Tarjuma : Ae Allah! Es (Nazar e bad) ki garmi, sardi aur museebat is se dour kar dey. [8]Al-Mustadrak al Hakim, Jild 5, Page 305, Hadees 7575
Yeh zikar karda nazar ki dua bhi parh satke hain aur woh mazkoorah baala aayat bhi parh kar dam kar satke hain. Jis ke baray mein Hazrat e Hasan رضی اللہ عنہ farmatay hain keh: “Jis ko nazar lagey os par yeh aayat parh kar dam kar di jaye.” [9]Khazain ul Irfan, P: 1019
Nazar e bad se hifazat ka aik aur wazifa bhi hai:
60 baar parh kar dam karen agar Allah pak ne chaha to nazar bad ka assar khatam ho jaye ga. Mazeed Quran Pak ki aakhri 2 suraten bhi Jin o shaitan aur nazar bad o asaib aur tamam amraaz khas tor par jadu tone ka mujarab ilaaj hain.
Bachon ki hifazat ke liye
Ba Wazu har bar Bismillah shareef ke sath teen teen baar surah e Fatiha , Surah ikhlaas, Surah falaq aur Surah al Naas parh kar bachon par dam karen. Agar Allah pak ne chaha to bachay nazar lagnay waghera se mehfooz rahen ge. (Yeh amal rozana subah o shaam yani din mein 2 bar karna hai)
Hawala Jaat