Dunya kayi mumalik se ghiri pari hai un mein baz chootey to baz baray mumulk shaamil hain. Kisi ki abadi ziyada hai to kisi ki kam, kisi ka Raqba ziyada hai to kisi ka Raqba kam hai. Esi isana mein yeh sawal bhi peda hota hai ke dunya ka sab se bara mulk konsa hai?
Doston darasal is ki taqseem 2 terhan se ki ja sakti hai. Aik raqbay ke aitbaar se aur doosri aabadi ke aitbaar se. Raqbay ke aitbaar se jo dunya ka sab se bara mulk hai woh “Russia” hai. Jiska Raqba taqreeban 17, 098, 242 murabba kilometer hai.
Aabadi ke aitbaar se dunya ka bara mulk
Jabkay aabadi ke aitbaar se dunya ka sab se bara mulk “China” hai. Jiski aabadi 1.42 billion hai. Uskay baad dosra bara mulk India hai jiski abadi 1.35 billion hai. Mazeed aglay 5 mulk United States, Indonesia , Brazil, Pakistan aur Nigeria hain.