Agar kisi wajah se ramzan ka ya koi dosra roza toot gaya to os roza ki qaza lazim hai. Lekin bilaa waja ramzan ka roza jan bujh kar kha pi kar ya jimaa kar ke toar daalnay se qaza ke sath roza tornay ka kaffara ada karna bhi wajib hai.
Roza tornay ka Kaffara
Roza tornay ka Kaffara yeh hai keh aik ghulam ya londi khareed kar azad kary aur agar ye nah ho sakay to laga taar 60 rozay rakhay aur agar eski bhi taaqat nah ho to 60 miskeeno ko dono waqt pait bhar kar khana khilaye. Kaffara mein roza rakhnay ki soorat mein laga taar 60 rozay rakhna zaroori hain agar darmiyan mein aik din ka bhi roza miss ho gaya to phir se 60 rozay rakhnay parrin ge. [1] Radul Mukhtar, Jild 3, Page 447
Kab roza chorney ki ijazat hai
Sharai safar, haamla aurat ko nuqsaan pounchanay ka andesha, doodh peelany wali aurat ke doodh sookh jane ka dar, bemari, burhapa, kamzoree ki wajah se halaak ho jane ka khauf ya kisi ne gardan par talwar rakh kar majboor kar diya keh roza nah rakhay warna jaan se maar daaley ga ya koi body part kaat le ga ya pagal ho jana, ya jihad karna yeh sab roza nah rakhnay ke uzar hain. En baton ki wajah se agar koi roza nah rakhay to gunahgar nahi lekin baad mein jab uzar jata rahay to en chhorey hue rozon ko rakhna farz hai. [2]Radul Mukhtar, Jild 3, Page: 462, 463
Sheikh e faani yani woh boorha ke nah ab roza rakh sakta hai aur nah ayendah es mein itni taaqat anay ki umeed hai keh rakh sakay ga to usay roza nah rakhnay ki ijazat hai aur esko lazim hai keh har roza ke badlay dono waqt aik maskeen ko bhar pait khana khilaye ya har roza ke badlay sadqa e fittar ki miqdaar maskeen ko day diya kary. [3]Radul Mukhtar, Jild 3, Page: 471, 472
Jin logon ko roza nah rakhnay ki ijazat hai unko sareaam khanay peenay ki ijazat nahi hai woh logon ki nigahon se choup kar kha pi satke hain.
Hawala Jaat