Namaz jannat ki kunji hai jabkay wazu namaz ki. Agar wazu sahih tareeqay se ada nah kiya aur eskay faraiz mein se koi farz reh gaya to wazu nahi ho ga. Jab wazu hi nahi ho ga to namaz kaisay durust ho gi. Lehaza hum par farz hai ke hum wazu ke mutaliq ilm haasil karen. Aam tor par jo wazu ka tarika bayan kya jata hai os mein wazu k faraiz, sunnatain aur mustahabbat sab shaamil hotay hain. Aaj hum khaas faraiz ke mutaliq jaanen ge.
WhatsApp Channel
Follow Now
YouTube Channel
Subscribe
Wazu k Faraiz
Wazu ke 4 faraiz hain agar en mein se koi aik bhi reh gaya to wazu nahi ho ga. Woh yeh hain:
- Chehra (Face) dhona
- Dono haath kohniyon samait dhona
- Chothai (1\4) sar ka maseh karna
- Paon (Feet) dhona
Yeh 4 faraiz jab tak pooray ada nahi hunge aap ka wazu nahi ho ga. Lehaza enko yaad kar len aur tasalii se wazu kiya karen.