Kalima e islam ke baad islam ka sab se barra rukan namaz hai, Yeh har Aaqil baaligh musalman mard o aurat par farz e ain [1]Yani jis ka ada karna har Aqil o baaligh musalman par zaroori[2]Janati Zewar ص۲۰۹ hai ke 2 sooraton ke ilawa kisi haal mein bhi maaf nahi.
- Junoon ya be hoshi musalsal itni lambi ho jaye keh 6 namazon ka waqt guzar jaye magar hosh nah aeye to yeh namazain maaf ho jaien gi aur un ki qaza bhi Lazim nahi.
- Aurat ko haiz ya nifas aa jaye to aisi haalat mein namaz maaf ho jati hai.
In 2 sooraton ke ilawa kisi haalat mein bhi namaz maaf nahi. Bemari agarchay kitni hi shadeed ho magar namaz maaf nahi. Agar kharray honay ki taaqat nah ho to baith kar namaz parhay. Aur Agar ruku o sajda nah kar sakta ho to sar ke isharay se ruku o sajda kare. Agar baith kar bhi namaz nahi parh sakta to late kar isharay se parhay,
Agar late kar sar se bhi ishara nah kar sakta ho to uss waqt bhi namaz maaf nahi hogi, Albata woh fil haal namaz nah parhay jab tandrost ho jaye to un namazon ki qaza parhay ga. Haan, agar 6 namazon ka waqt isi haalat mein guzar jaye to un ki qaza saqt [3]Yani Maaf ho jaye gi.
Jung ki haalat mein bhi Namaz ki adaigi
Ain jung mein bhi Mujahid namaz parhay ga. Agar ghorray par sawaar ho aur utarney ki mohlat nah ho to mumkin honay ki soorat mein ghorray par baithy baithy isharay se namaz parhay ga. Isi terhan ghmsan ki larai mein bhi mumkin honay ki soorat mein isharay se ruku o sajda kar kay namaz ada kare ga.
Quran e kareem mein jis qader namaz ke takeedi Ehkaam aur namaz chorne par sakht waeidain aayi hain itni takeed aur waied kisi doosri ibadat ke liye nahi aayi. Namaz ki farziat ka inkaar karne wala balkay is ki farziat mein shak karne wala bhi kafir aur islam se kharij hai. Aur jaan boojh kar ek waqt ki namaz bhi chorrne wala fasik, sakht gunah gaar aur azab e naar ka haq daar hai.
Afsos! Aaj kal baaz musalman jo namazi kehlate hain un ka yeh haal hai keh zara unhen bukhaar ya dard e sir hua to namaz chorre dete hain, Unhen maloom ho jana chahiye keh jab tak isharay se bhi namaz parhnay ki taaqat rakhtay hain, Namaz padni ho gi warna azab e naar ke haq daar hon ge. Allah Rab ul Izzat hum sab ko rozana paanchon waqt ba jamat namaz ada karne ki tofeeq inayat farmaiye. Aamen
Hawala Jaat