Hazrat Suhib رضی اللہ عنہ farmatay hain keh: Main ne Tajdar e Madinah ﷺ ke liye thora sa khana pakaya aur dawat arz karne ke liye haazir hua. To Aap ﷺ Sahaba e Karaam علیھم الرضوان ke sath tashreef farma thay. Maaray sharam ke kuch arz nah kar saka aur khamosh khara raha. Sarkar e Namdar ﷺ ne meri taraf dekha main ne ishara se khanay ke liye chalne ki iltija ki. Farmaya, Aur yeh log? main ne arz ki, Nahi. Sarkar ﷺ Khamosh ho gaye aur main isi maqam par khara raha.
Huzoor e Anwar ﷺ ne phir meri taraf nazar farmai. Main ne isi terhan phir Ishara arz ki. Farmaya, Yeh log? Main ne arz ki, nahi. Doosri ya teesri martaba ke jawab mein Main ne arz ki,” Bohat acha” Yani un ko bhi le chlye aur sath yeh bhi arz kar di ke sirf thora sa khana Aap ﷺ hi ke liye pakaya hai. Huzoor Nabi Kareen ﷺ un tamam Sahaba e Karaam علیھم الرضوان ke sath tashreef laaye, sab ne Achi terhan khaya aur khana phir bhi bach raha.[1]الخصائص الکبریٰ ج۲ ص۸۲
Hawala Jaat