Hazrat Irbaz bin Saria رضی اللہ عنہ farmatay hain, Ghazwah e Tabook mein aik raat Huzoor Nabi e Kareen ﷺ nay Hazrat Bilal- رضی اللہ عنہ se farmaya, Ae Bilal! Tumahray paas kuch khanay ko hai? Hazrat Bilal رضی اللہ عنہ nay arz ki, Huzoor! Aap ke Rab عزوجل ki qisam! Hum to apne tosha daan khaali kiye baithy hain. Rehmat e Aalam ﷺ nay farmaya, Achi terhan dekho aur apne tosha daan jharro shayad kuch nikal aaye.
(Us waqt hum 3 afraad they) Sab nay apne apne tosha daan jhaady to kul 7 khajooren bramad huien. Aap ﷺ nay un ko aik safha par rakh kar un par apna dast e mubarak rakh diya, aur farmaya, بسم اللہ parrh kar khao, hum tenu nay Huzoor Nabi Kareen ﷺ ke dast e anwar ke neechay se utha kar khoob khayen, Hazrat Bilal رضی اللہ عنہ farmatay hain keh main ghuthlian ultay haath mein rakhta jata tha, Jab main nay sair ho kar un ko shumar kiya to 54 theen! Isi terhan un dono Sahaba رضی اللہ عنہم nay bhi sair ho kar khayen.
Jab hum nay khanay se haath rok liya to Sarkar ﷺ nay bhi apne dast e mubarak utha liya. Woh saton khajooren usi terhan mojood theen! Huzoor Nabi e Kareem ﷺ nay farmaya, Ae Bilal! In ko sambhaal kar rakho aur in mein se koi nah khaye, phir kaam ayen gi. Hazrat Bilal رضی اللہ عنہ farmatay hain, Hum nay un ko nah khaya.
Doosra Din
Jab dosra din aaya aur khanay ka waqt hua to Sarkar e Madinah ﷺ nay wohi saat khajooren laane ka hukum diya, Aap ﷺ nay phir isi terhan un par apna dast mubarak rakha aur farmaya, بسم اللہ parrh kar khao! Ab hum 10 aadmi they sab sair ho gay.
Huzoor Tajdar e Risalat ﷺ nay apna dast e rehmat uthaya to 7 khajooren badastoor mojood theen. Aap ﷺ nay farmaya, Ae Bilal! Agar mujhe Haq تعالیٰ se haya nah aa rahi hoti to wapas Madinah pounchanay tak inhi 7 khajoron se khatay. Phir Sarkar ﷺ nay woh khajooren aik larke ko ata farma den. Woh unhein kha kar jata raha.[1]الخصائص الکبریٰ ج۲ ص ۴۵۵
Hawala Jaat