Bila zaroorat kisi ki mojudgi mein uski ijazat ke baghair khufia baat karna makrooh tehreemi hai. Es ki wajah yeh hai keh is tarhan baat karne se teesray shakhs ko eeza hogi aur ye tashweesh mein mubtala hoga keh shayad yeh log meri gheebat kar rahay hain ya mujh par bohtan laga rahay hain ya mujhe is qabil hi nahi samajhte ya mujhe nuqsaan pahunchana chahtay hain waghera.
(حدیقہ ندیہ ،ج۲ ،ص۳۵۵)
Hazrat e Syedna Ibn Masood رضی اللہ عنہ se marwi hai keh. Sarkar Madinah ﷺ ne farmaya : ” Jab 3 shakhs aik jagah hon to 2 shakhs teesray ko chore kar chupkay chupkay battain nah karen yahan tak keh majlis mein bohat se log nah aa jayen, yeh is wajah se hai keh os teesray ko ranj puhanche ga.”
(بخاری ، کتاب الاستئذان ، باب اذا کانوااکثر من ثلاثۃ الخ ، رقم الحدیث ۶۲۹۰،ج۴،ص۱۸۵)
Allah Pak hamein es hawalay se bhi apni zabaan ki hifazat karne ki tofeeq atta farmaye. Amen