Kisi musalman ko darane ya dhamki dainay se usay takleef pahunchti hai aur yeh mamnu hai. Sarwar e Aalam ﷺ ne farmaya : ” Jis neh kisi musalman ko na-haq aziat di os neh mujhe aziat di aur jis ne mujhe aziat pohanchai os ne Allah pak ko aziat di.”
(مجمع الزوائد،کتاب الصلوۃ، رقم ۳۰۹۲،ج۲،ص۳۹۹)
Allah Pak ney irshad farmaya :
Tarjama e Kanz ul Iman : Woh to shetan hi hai keh apne doston se dhamkata hai to un se nah daro aur mujh se daro agar iman rakhtay ho.”
(پ۴،اٰل عمران:۱۷۵ )
Hazrat Aamir bin Rabeia رضی اللہ عنہ se rivayat hai keh. Huzoor Anwar ﷺ ney farmaya :” Musalman ko mat daraya karo ke musalman ko darana Zulm e azeem hai.”
(الترغیب والترہیب ، کتاب الادب، رقم۴، ج۳،ص۳۱۸)
Jabkeh Hazrat e Syedna Umar رضی اللہ عنہ se marwi hai keh. Nabi e Akram ﷺ ney farmaya :” Jis ney kisi musalman ko bila waja daraya to Allah par haq hai keh usay Qayamat ke din ki holnakiyon se aman nah day.”
(طبرانی اوسط ، رقم الحدیث ۲۳۵۰، ج۲،ص۲۰)
Hazratِ Syedna Abdullah bin Umaro رضی اللہ عنہ se marwi hai keh. Nabi e Akram ﷺ ney farmaya :” Jis ney kisi musalman ko na-haq ghour kar dekha to Allah pak usay qayamat ke din khauf mein mubtila karde ga.”
(الترغیب والترہیب،کتاب الادب،رقم۷،ج۳،ص۳۱۹)
Allah Pak hamein es hawalay se apni zabaan ki hifazat karne ki tofeeq atta farmaye. Amen