Anbia علیہم السلام ke maratib mein farq hai. Bazon ke rutbey bazon se aala hain. Sab se bara rutba hamaray Aaqa o Maula Nabiyon ke sardar Muhammad e Mustafa ﷺ ka hai. Huzoor ﷺ khatam un Nabiyeen hain. Allah pak ne nabuwat ka silsila Huzoor ﷺ par khatam farma diya. Huzoor ﷺ ke baad kisi ko nabuwat nahi mil sakti. Jo shakhs Huzoor ﷺ ke baad kisi ko nabuwat milna jaaiz samjhay woh kafir ho jata hai.
Tamam Anbia علیہم السلام ko jo kamalaat judda judda inayat hue woh sab Allah pak ne Huzoor ﷺ ki zaat aali mein jama farma diye aur Huzoor ﷺ ke khaas kamalaat bohat zayed hain. Huzoor ﷺ Allah pak ke mehboob hain. Khuda ki raah Anbia علیہم السلام hi ke zariye millti hai aur insan ki nijaat ka dar o madaar inhen ki farmabardari par hai.