Woh ajeeb o ghareeb kaam jo aadatan namumkin hon. Jaisay murdon ko zindah karna, isharay se chand ke 2 tukre kar dena, unglion se chashmay jari karna, aesi baten agar nabuwat ka daawa karne walay se os ki taied mein zahir hon, un ko “Mojza” kehte hain. Mojzat Anbia علیہم السلام se bohat zahir hotay rehtay hain aur yeh un ki nabuwat ki daleel hain.
Mojzat dekh kar aadmi ka dil Nabi ki sachaai ka yaqeen kar laita hai. Jis ke haath se qudrat ki aesi nishanain zahir hoti hain jin ke muqabil sab log aajiz o heran hain zaroor woh khuda ka bheja hua hai. Chahay ziddi dushman nah manay magar dil yaqeen kar hi laita hai aur aqal walay imaan le aatay hain.
Koi jhoota nabuwat ka daawa kar ke mojza har gaz nahi dikha sakta qudrat is ki taied nahi farmaati. Hamaray Huzoor syed ul Anbia ﷺ ke mojzat bohat ziyada hain. Un mein se mairaaj shareef bohat mashhoor mojza hai. Huzoor ﷺ raat ke thoray se hisay mein Makkah Muazzama se Bait ul Muqaddas tashreef le gay wahan Anbia علیہم السلام ki imamat farmai.
Bait ul Muqaddas se asmanon par tashreef le gay. Allah pak ke qurb ka woh martaba paaya ke kabhi kisi insan ya farishtay, Nabi ya Rasool ney nah paaya tha. Khudawand e Aalam ka Jamal pak apni mubarak aankhon se dekha. Kalam e Elahi suna. Aasman o zameen ke tamam mulk mulahiza farmaiye. Jannaton ki sair ki. Dozakh ka muaina farmaya.
Makkah Muazzama se Bait ul Muqaddas tak raah mein jo qaafley miley they subah ko un ke halaat bayan farmaiye.
can u provide information k insano k sath mojazat hoty hain?R agr hoty hain to kis trah k?Agr hum koi dua mang rhy hain jo namumkin ho maslan qad ka badhna ek esi umar m jo k scientificaly impossible hai to kia Dua se asy mojazat ho skty hain.Please provide correct answer with justification by islamic scholar.
Mojzat ka hona Nabi say zahir hota hai. Aur Karamat Aulia say. Aur aesi Dua mangna hi darust nahi jiska pura hona na mumkin ho. Hamesha Allah ki Raza par razi rahen.
Kyun nae maang sakte Aesi Dua jiska hona namumkin ho bhai Ap Allah se maang rahe ho Allah hr cheez pr qadir hai. To ek insan apne dil dimag se apni hr wo khuahish wo Dua jo dil mai ho wo kesi b ho maang skta hai. Namumkin ko mumkin duaen hi banati hain Allah ne baray baray takht hila diye Dua k zarye
Osi Allah pak ne jo deen hamary liye bheja hai. Osi deen mein aesi dua karne ka mana kiya gaya hai jo namumkin ho