Purr ronaq bazar mein resham ke kapray ki aik dukaan par us dukaan ka khadim mashgool e dua hai aur Allah pak se jannat ka sawal kar raha hai. Yeh sun kar malik e dukan par riqqat taari ho gayi, aankhon se ansoo jari ho gaye hatta keh kaptian aur kandhay kanpnay lagey. Malk e dukan ney foran dukan band karne ka hukum diya, apne sar par kapra lapait kar jaldi se utthay aur kehnay lagey:
Afsos! hum Allah pak par kis qadar nidar ho gaye keh hum mein se 1 shakhs sirf apne dil ki marzi se Allah pak se jannat mangta hai. Yeh to bahut himmat bhara sawal hai. Hum jaisay ( gunahgaaron ) ko to Allah pak se apne gunaahon ki maffi maangni chahiye.
Yeh maalik e dukan bohat ziyada khauf e khuda ke haamil they. Raat jab namaz ke liye kharray hotay to un ki aankhon se is qader ashkon ki barsaat hoti keh chitaai par ansoo girnay ki tup tup saaf sunai deti. Aur itna rotay itna rotay keh parosion ko reham anay lagta.
(مُلَخَّص از اَ لْخَیْراتُ ا لْحِسان لِلْہَیْتَمِی ص۵۰،۵۴ دارالکتب العلمیۃ بیروت)
Aap jantay hain yeh kon they? Yeh maalik e dukan karorron hanafion ke azeem peshwa, Siraj al ummah, kashif al ummah, imam Azam Hazrat syedna Imam Abu Hanifa Noman bin sabit رضی اللہ تعالٰی عنہ they.
Nah kyun karen naz Ahl-e-sunnat, keh tum se chamka naseeb e ummat
Siraj e ummat mila jo tum sa, Imam Azam Abu Hanifa
( Wasail e bakhshish safha ۲۸۳ )