Farishtay kya hen?? Aur kya enko dekha ja sakta hai??

Farishtay

Farishtay Allah pak ke imandaar, izzat walay bande hain jo os ki nafarmani kabhi nahi karte hain. Har qisam ke gunah se masoom hain. Un ke jism noorani hain, aur woh nah kuch khatay hain, nah peetay hain. Har waqt Allah pak ki ibadat mein hain.

Wo Hamein to nazar nahi atay magar jinhein Allah pak chahta hai woh firshton ko dekhte hain. Anbia علیہم السلام unhen mulahiza farmate hain, un se kalaam hota hai. Qabron mein murdy bhi firshton ko dekhte hain aur bhi jisay Allah pak chahay, dekh sakta hai. Allah pak ne unhen yeh qudrat di hai keh woh jo shakal chahain ikhtiyar karen.

Woh judaganah kamon par muqarrar hain. Baz jannat par, baz dozakh par, baz admion ke amal likhnay par, baz rozi pohanchanay par, baz pani barsane par, baz maan ke pait mein bacha ki soorat bananay par, baz admion ki hifazat par, baz rooh qabz karne par, baz qabar mein sawal karne par, baz azaab par, baz Rasool علیہ السلام ke darbaar mein musalmanoon ke duroood o salam pohanchanay par, baz Anbia علیہم السلام ke paas wahi laane par.

Malaika ko Allah pak ne barri qowat ataa farmai hai woh aisay kaam kar sakte hain jisay lakhoon aadmi mil kar bhi nahi kar sakte. Farishtay bohat ziyada hain hamein un ki tadaad maloom nahi. Un mein 4 farishtay bohat Azmat rakhtay hain.

  1. Hazrat Jibraiel,
  2. Hazrat Mikaeel,
  3. Hazrat Israfeel,
  4. Hazrat Izraeel علیہم السلام.
5/5 - (1 vote)

One thought on “Farishtay kya hen?? Aur kya enko dekha ja sakta hai??

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *