Hazrat Adam علیہ السلام say lay kar Hazoor Nabi e Kareem Hazrat e Muhammad ﷺ tak Nabion ki aamad hoti rahi. Es kay baad naye Nabi kay aany ka silsila khatam ho gaya. Ab qayamat tak koi naya nabi nahi aa sakta. Hazrat Muhammad ﷺ hi aakhri nabi hen. To sawal ye peda hota hai keh Hazrat e Adam علیہ السلام say lay kar Hamary aakhri Hazrat e Muhammad ﷺ tak duniya me kitne Nabi aye?
WhatsApp Channel
Follow Now
YouTube Channel
Subscribe
Duniya me kitne Nabi aye?
Hazrat Aadam علیہ السلام se le kar aakhri nabi Hazrat Muhammad ﷺ tak be shumaar nabi is duniya me aye. Un tamam Anbia علیھم السلام ki tadaad taqreeban 124000 kitabon mein zikar ki gai hai. Lekin ye kam o baish hai exact figar nahi hai. Jab bhi ye tadad bayan karna ya likhna chahen to kam o baish lazman sath bayan karen.