Rab ki qudrat ke krishme har zarray se jhalakte hain. Agar aalam hewanat ki baat ki jaye to har hewan ki khasiyat, khalqat aur ajaebaat Allah ki qudrat ke nazare paish karte hain. Un mein se baaz ka zikar to khaas Quran e Kareem mein mojood hai aur un ki khalqat mein ghhor o fikar karne ka hukum bhi diya gaya. Jaisa ke agar hum oont ki baat karen keh jis ke baray mein irshad farmaya gaya :
Tarjuma : To kya woh oont ko nahi dekhte ke kaisa banaya gaya hai. [1]Surah e Ghashia , Aayat 17
Oont ki Khususiyat
Oont ko registani jahaaz kaha jata hai. Es ki takhleeq kitni anokhi hai. Bohat ziyada boojh utha kar baasani safar karna, kayi dinon ki khoraak aur pani andar store kar lena, baghair ruke lambay arsay tak safar karte rehna. yeh sab baatein batati hain ke Allah pak ne insaan ki sawari aur boojh bardari ke liye jis janwar ko banaya hai osko wo tamam tar khususiyaat di hain. Jiski usay aam ilaqon ya sehrayi ilaqon mein douran e safar haajat thi.
Ab chunkay uska umomi istemaal sehraai ilaqon ke safar mein kiya jata hai. To sehrai ilaqon mein ugnay waly aam podon aur khardar darakht sy ghiza hasil karne ke liye as key honton ko es tarah banaya gaya hai keh os key honton ke darmiyan aik cheer hai. Jab yeh oont khardaar jhaari khata hai. To –apne honton ke kat se kaanton ko bahar pheink deta hai aur baqi ko ghiza bana laita hai.
Esi terhan is ki aankhon mein jaali numa jhilli hai. Jo is ke aankhon mein rait dalney se aarr banti hai. Jis ki wajah se yeh sakht raitely tufaan mein bhi baasani safar kar laita hai aur apne sawaar ko manzil maqsood tak pouncha deta hai. Esi terhan aur bohat saaray ajaebaat es janwar mein paye jatay hain. Jo batatay hain ke Allah pak ne har cheez ko aesi takhleeq par banaya hai jo os ke liye ziyada munasib thi.
Hawala Jaat