Ghusal ke faraiz

Ghusal ke faraiz

Yaad rakhen ghusal karne mein kuch chezen lazmi hoti hen jin ko pura kiye bina ghusal nahi hota. Unko ghusal ke faraiz kaha jata hai. Ghusal ke total 3 faraiz hen. Jin kay naam aur tafseel darj zail hai.

Ghusal ke faraiz

  1. Kulli karna
  2. Naak mein pani charhana
  3. Tamam Zahir badan par pani bahana. [1] Fatawa Alamgeeri Jild 1, Safha 13

1. Kulli Karna

Moun mein thora sa pani le kar pitch kar ke daal dainay ka naam kulli nahi. Balkay moun ke har purzey, gooshay, hont se halaq ki jarr tak har jagah pani beh jaye. Esi terhan darhon ke peechay galoon ki teh mein, danton ki khirkion aur jarroon aur zaban ki har karvat par balkay halaq ke kinary tak pani bahe. Roza nah ho to ghar gharah bhi kar lijiye ke sunnat hai.

Danoton mein chalia ke danay ya booti ke raishay waghera hon to un ko churrana zaroori hai. Haan agar churanay mein nuqsan ka andesha ho to maaf hai. Ghusal se qabal danoton mein raishay waghera mehsoos nah hue aur reh gaye namaz bhi parh li baad ko maloom honay par churra kar pani bahana farz hai. Pehlay jo namaz parhi thi woh ho gayi.

Jo hilta daant masalay se jamaya gaya ya taar se baandha gaya aur taar ya masalay ke neechay pani nah pohanchta ho to maaf hai. [2] Bahhar Shariat Jild 1, Safha 312, Fatawa e Razviya مخرجہ ج۱ص۴۳۹. ۴۴۰ Jis tarhan ki aik kulli ghusal ke liye farz hai esi tarhan ki 3 kulliyan wazu ke liye sunnat hain.

2. Naak mein pani charhana

Jaldi jaldi naak ki noke par pani laga lainay se kaam nahi chalay ga. Balkay jahan tak naram jagah hai yani sakht haddi ke shuru tak dhulna laazmi hai. Aur yeh youn ho sakay ga keh pani ko sungh kar oopar khainchiye. Yeh khayaal rakhiyae ke baal braber bhi jagah dhulney se nah reh jaye warna ghusal nah ho ga. Naak ke andar agar renth sookh gayi hai to is ka churrana farz hai. Neez naak ke balon ka dhona bhi farz hai. [3]اَیضاً، اَیضاً ص ۴۴۲-۴۴۳

3. Tamam zahiri badan par pani bahana

Sar ke balon se le kar paon ke talwon tak jism ke har purzey aur har har ronghate par pani beh jana zaroori hai. Jism ki baaz jaghen aesi hain keh agar ahtiyat nah ki to woh sookhi reh jayen gi aur ghusal nah ho ga. Lehaza ghusal mein khaas ahtiyat se kaam len. [4]Bahar e Shariat ج۱ص۳۱۷

3.5/5 - (2 votes)

Hawala Jaat[+]

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *