Allah pak ne din mein 5 martaba hum par namaz farz ki hai. Jisko ada karne ke liye wazu karna lazmi hai. Aur wazu ka tarika sekhna ilm ul faraiz mein say hai. Es tehreer mein hum ne mukamal wazu ka tarika bayan kiya hai jo keh faraiz, sunnat aur mustahab sub ko shamil hai.
Wazu ka Tarika
Qibla ki taraf moun kar ke onchi jagah baithna mustahab hai. Wazu ke liye niyat karna sunnat hai. Niyat dil ke iraday ko kehte hain. Dil mein niyat hotay hue zaban se bhi keh lena afzal hai. Lehaza zabaan se is terhan niyat kijiye keh ‘Main hukum e Ellahi baja laane aur paki haasil karne ke liye wazu kar raha hon.”بِسْمِ اللہ” keh lijiye ke yeh bhi sunnat hai. Balkay
keh lijiye ke jab tak ba wazu rahen ge farishtay naikian likhte rahen gay. Ab dono haath teen teen baar pohanchoon tak dhoeye. Dono hathon ki unglion ka khilal bhi kijiye. Kam az kam teen teen baar dayen baen oopar neechay ke danton mein miswaak kijiye aur har baar miswaak ko dho lijiye.
Ab seedhay haath ke 3 chulu pani se [1]Har baar null band kar ke is tarhan 3 kuliyan kijiye keh har baar moun ke har purzey par pani beh jaye. Agar roza nah ho to ghar gharah bhi kar lijiye. Phir seedhay hi haath ke 3 chulu [2]Ab har baar aadha chulu pani kaafi hai se 3 baar naak mein naram gosht tak pani charrhaiye aur agar roza nah ho to naak ki jarr tak pani pohanchahiye. Ab ultay haath se naak saaf kar lijiye aur choti ungli naak ke sorakhon mein daliye. Es kay baad wazu ke faraiz shuru hoty hen.
Wazu ke faraiz
Wazu ke faraiz total 4 hen jin ke naam ye hen.
- Chehra dhona
- Haath kohniyon samait dhona
- 1/4 Sar ka masah karna
- Takhnon samait paon dhona.
Agar aap Urdu zaban janty hen to yehi mawad aap es link (وضو کا طریقہ) par Urdu language mein bhi parh sakte hen.
1. Chehra Dhona
3 baar sara chehra is terhan dhoeye ke jahan se aadatan sar ke baal ugna shuru hotay hain wahan se le kar thorhee ke neechay tak aur aik kaan ki Lo se dosray kaan ki Lo tak har jagah pani beh jaye.
Agar daarhi hai aur ahraam bandhay hue nahi hain to[3]Null band karne ke baad is terhan khilal kijiye ke unglion ko galaay ki taraf se daakhil kar ke samnay ki taraf nikaliye.
2. Dono Haath Kohniyon Samait Dhona
Phir pehlay seedha haath unglion ke siray se dhona shuru kar ke kohniyon samait 3 baar dhoeye. Esi terhan phir ulta haath dho lijiye. Dono haath aadhay baazu tak dhona mustahib hai.
Aksar log chulo mein pani le kar puhanche se 3 baar chorr dety hain ke kohni tak behta chala jata hai. Es terhan karne se kohni aur kalayi ki karwaton par pani nah pounchanay ka andesha hai. Lehaza bayan kardah tareeqay par haath dhoeye. Ab chulo bhar kar kohni tak pani bahanay ki haajat nahi balkay[4]Baghair ijazat sahiha aisa karna yeh pani ka israaf hai.
3. Sar ka Masah
Ab sar ka masah is terhan kijiye ke dono angothon aur kalme ki unglion ko chorr kar dono haath ki teen teen unglion ke siray aik dosray se mila lijiye aur peshani ke baal ya khaal par rakh kar khenchte hue guddi tak is terhan le jaiye ke hatheliyan sar se judda rahen. Phir guddi se hatheliyan khenchte hue peshani tak le aaiye. Kalme ki ungelian aur angothay is douran sar par bilkul mass nahi honay chahiyen.
Phir kalmay ki unglion se kaanon ki androoni satah ka aur angothon se kaanon ki baahiri satah ka masah kijiye aur choti ungelian kaanon ke sorakhon mein daakhil kijiye aur unglion ki pusht se gardan ke pichlle hisse ka masah kijiye.
Baaz log galaay ka aur dhullay hue hathon ki kohniyon aur kalaiyon ka masah karte hain yeh sunnat nahi hai. Sar ka masah karne se qabal null ya tuti achi terhan band karne ki aadat bana lijiye bilaa wajah null khula chorr dena ya adhoora band karna ke pani tapakta rahay gunah hai.
4. Paon Dhona
Ab pehlay seedha phir ulta paon har baar unglion se shuru kar ke takhnon ke oopar tak balkay mustahab hai ke aadhi pindli tak teen teen baar dho lijiye. Dono paon ki unglion ka khilal karna sunnat hai. [5]Khilal ke DOURAN null band rakhiye
Es ka mustahab tareeqa yeh hai ke ultay haath ki chungliya se seedhay paon ki chungliya ka khilal shuru kar ke angothay par khatam kijiye. Aur ultay hi haath ki chungliya se ultay paon ke angothay se shuru kar ke chungliya par khatam kar lijiye.
Wazu ke baad ki Dua
Wazu ke baad yeh dua bhi parh lijiye! [6]Awwal o aakhir duroood shareef
Tarjama: Ae Allah pak! Mujhe kasrat se tauba karne walon mein bana day aur mujhe pakeeza rehne walon mein shaamil kar dey. [7] Jame Tirmizi, ج۱, ص۱۲۱, hadees ۵۵
Ye mukamal wazu ka tarika faraiz, sunnat aur mustahab sub ko shamil tha. Esko follow karen aur darust tarika kar kay mutabik wazu kiya karen. Allah pak hamen amal karne ki tofeeq atta farmaye.
Hawala Jaat