Jab Hazrat e Isa علیہ السلام tashreef layen ge to kya kya kaam sar anjam den gey.

Jab Dajjal ka fitnah intahaa ko pohanch chuke ga aur woh maloon tamam duniya mein phir kar mulk shaam mein jaye ga. Os waqt hazrat Isa علیہ السلام Dimashq ki jame masjid ke Sharqi menarah par Shariat Muhammadi ﷺ ke haakim aur Emam e aadil aur mujaddid e millat ho kar nuzool farmaen ge.

Aap علیہ السلام ki nazar jahan tak jaye gi wahan taq khushboo puhanche gi aur aap علیہ السلام ki khushboo se Dajjal pighalnay lagey ga aur bhage ga. Aap علیہ السلام Dajjal ko Bait ul Muqaddas ke qareeb maqam e lud mein qatal karen ge. Un ka zamana barri kher o barket ka hoga.

Maal ki kasrat hogi. Zameen apne khazanay nikaal kar bahar kare gi. Logon ko maal se raghbat nah rahay gi. Yahudiyat, nasraniyat aur tamam baatil deeno ko aap علیہ السلام mita dalain ge. Aap علیہ السلام ke ehad mubarak mein aik deen hoga, Islam.

Tamam kafir imaan le ayen ge aur saari duniya Ahl e Sunnat hogi.  Aman o aaman ka yeh aalam ho ga ke sher bakri aik sath chareen ge. Bachay saanpon se khelain ge. Bughz o hasad ka naam o nishaan nah rahay ga.

Hazrat Isa علیہ السلام ka nuzool

Jis waqt aap علیہ السلام ka nuzool hoga Fajar ki jamaat khari hoti hogi. Hazrat Imam Mehdi رضی اللہ تعالیٰ عنہ aap علیہ السلام ko dekh kar aap se imamat ki darkhast karen ge. Aap unhi ko agay barhayen ge aur Hazrat Imam Mehdi رضی اللہ تعالیٰ عنہ ke peechay namaz ada farmaen ge.

Aik rivayet mein hai ke Hazrat Isa علیہ و علیہم الصلٰوۃ والسلام ney Huzoor Sayed ul Anbiya علیہ و علیہم الصلٰوۃ والسلام ki shaan o sift aur aap ﷺ ki ummat ki izzat o karamat dekh kar Ummat e Mohammadi ﷺ mein daakhil honay ki dua ki. Allah تعالیٰ ney aap علیہ السلام ki dua qubool farmai aur aap علیہ السلام ko woh baqa ataa farmai ke aakhir zamana mein ummat e Muhammadi ﷺ ke imam ho kar nuzool farmaen aap علیہ السلام nuzool ke baad barson duniya mein rahen ge, nikah karen ge phir wafaat pa kar huzoor Sayed ul Anbia ﷺ ke pehlu mein madfoon hon ge.

3.7/5 - (3 votes)

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *