Bazaar aur davton ke chat patay kabab samose khanay walay tawajah farmaen.
Kabab samose baichnay walay amuman qeema dhotay nahi hain. Un ke baqol qeema dho kar dalain to kabab samose ka zayega mutasir hota hai! bazari qeemay mein baaz auqaat kya kya hota hai yeh bhi sun lijiye! gaaye ki ojhri ka chilka utaar kar os key “butt” mein tili bal keh معاذاللہ kabhi to jama hua khoon daal kar machine mein pestay hain. Is tarhan safaid Butt ke qeemay ka rang gosht ki Manind gulaabii ho jata. Aur woh dhokay se gosht ke qeemay mein khapa diya jata hai.
Basa auqaat kabab samose walay hasb e zaroorat adrak lehsun waghera bhi usi qeemay ke sath hi piswa letay hain. Ab is qeemay ke dhoney ka sawal hi peda nahi hota. Usi qeemay mein mirch masalha daal kar bhon kar uss ke kabab samose bana kar farokht karte hain. Hotels mein bhi isi tarhan ke qeemay ke saalan ka andesha rehta hai. Ganday kabab samose walon se pakoray waghera bhi nah liye jayen. Kyun keh aik to karahi aur dusra tail bhi wohi ganday qeemay wala hota hai.
Kher main yeh nahi kehta keh معاذاللہ har gosht baichnay wala is tarhan karta hai ya khuda na khwasta har kabab samose wala napak qeema hi istemaal karta hai. Yaqeenan khalis gosht ka qeema bhi milta hai. Aur agar “Butt” ke qeemay ka keh kar hi farokht kiya tab bhi gunah nahi. Arz karne ka Mansha yeh hai keh qeema ya kabab samose qabil e itminan musalman se lainay chahiye. Aur jo musalman gunahon bhari harkatein karte hain un ko tauba kar leni chahiye.
Kabab samose doctors ki nazar mein
Kabab, samose, pakoray, Shami kabab, machhli aur murghi waghera ki tali hui bootiyan, poryan, kachorian, pizzy, parathey, anda omelette waghera hum khoob mazay le le kar khatay hain. Magar be zarrar nazar anay wali in khasta aur karari ghizaoun ka ghair mohtaat istemaal apne andar kaise kaise mohlik amraaz liye hue hai is ka shaz o nadir hi kisi ko ilm hota hai.
Talnay ke liye jab tail ko khoob garam kiya jata hai to tibbi tehqiqaat ke mutabiq is ke andar kayi na khushgawaar o nuqsan dِeh madde peda ho jatay hain. Talnay ke liye daali jaaney wali cheez bhi nami chorti hai. Jis ke sabab tail mushtael ho kar chatakh chatakh ka shore mchata hai jo keh is ke keemiyai ajza ki torr phore ki alamat hai aur is ke sabab ghizai ajza aur vitamins tabah ho jatay hain.