Kisi ke ayob o naqaais ko is tarhan zahir karna keh log os par hansen tamaskhur ( mazak urana ) kehlata hai. Es ke liye kabhi to kisi ke qoul ya feal ki naqal utari jati hai. Aur kabhi os ki taraf makhsoos andaaz mein isharay kiye jatay hain. Yeh es liye mamnoo hai keh es mein dusaron ki tahqeer aur ihaanat hai aur yeh haraam hai. Rab e Pak farmata hai :
یٰۤاَیُّہَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا لَا یَسْخَرْ قَوۡمٌ مِّنۡ قَوْمٍ عَسٰۤی اَنۡ یَّکُوۡنُوۡا خَیۡرًا مِّنْہُمْ وَلَا نِسَآءٌ مِّنۡ نِّسَآءٍ عَسٰۤی اَنۡ یَّکُنَّ خَیۡرًا مِّنْہُنَّ
Tarjama e Kanz ul Iman : Ae imaan walo! Nah mard mardon se hansen ajab nahi keh woh un hansnay walon se behtar hon aur nah aurtain aurton se dour nahi keh woh un hansnay waliyon se behtar hon. [1]پ ۲۶،الحجرات:۱۱
Hazrat Hassan Basri رضی اللہ عنہ se rivayat hai keh Sarwar e Konain ﷺ ne farmaya :
“Logon se istehza karne walon ke liye Roz-e-Qayamat Jannat ka aik darwaaza khol kar kaha jaye ga “Yahan aa jao” jab woh pareshani ke aalam mein darwazay ki taraf daud kar ayen ge to darwaaza band kar diya jaye ga yeh amal baar baar kiya jaye ga yahan tak keh phir un mein se aik ke liye darwaaza khoola jaye ga aur usay bulaya jaye ga lekin woh na umeed honay ki wajah se nahi aaye ga.” [2]شعب الایمان ، باب فی تحریم اعراض الناس ، رقم الحدیث ۶۷۵۷،ج۵،ص۳۱۰
Allah Pak hamein es hawalay se bhi apni zabaan ki hifazat karne ki tofeeq ataa farmaye. Aameen
Hawala Jaat
Kisi mazhab ka majak Karna case hai Pakistan pe