Kisi ko Allah ki rehmat se dour kehna aur karna ”laanat” kehlati hai. yaqeen ke sath kisi par bhi laanat karna jaaiz nahi chahay woh kafir ho ya momin, gunehgaar ho ya farmanbardar kyun keh kisi ke khatema ka haal koi nahi jaanta.
(حدیقہ ندیہ ،ج۲،ص۲۳۰)
Fatawa Razviya mein hai keh ”laanat bohat sakht cheez hai, har musalman ko es se bachaya jaye balkeh kafir par bhi laanat jaaiz nahi jab tak us ka kufar par marna quran o hadis se saabit nah ho.”
(جلد ۱۰،نصف ثانی ، ص ۲۵۵بتغیرمّا)
Aaqa ﷺ ka farman laanat ke bary mein
Hamaray muashray mein baat baat par laanat molamat karne ka marz bhi aam hai aur ilm e deen se mehroomi ke baais es mein koi harj bhi nahi smjha jata halaan keh kisi momin ko laanat karna usay qatal karne ke mutradif hai jaisa ke Hazrat e Syeduna zhak se riwayat hai keh Huzoor e Akram ﷺ ney farmaya: ”Kisi momin par laanat karna usay qatal karne ki tarhan hai.”
(صحیح البخاری ، کتاب الایمان والنذر ، رقم الحدیث ۶۶۵۲، ج۴،ص۲۸۹)
Aur kisi par laanat karna momn ki shaan ke bhi manafi hai. Jaisa ke Hazrat e Sayedna Ibn Masood رضي اللہ عنه
riwayat karte hain keh Madani Aaqa ﷺ ney irshad farmaya :” Momin laan ta’an aur fohash kaam nahi karta.”
(سنن الترمذی ، کتاب البر والصلۃ ،رقم الحدیث ۱۹۸۴،ج۳،ص۳۹۳)
Kisi ko laan ta’an karne ki aadat paalne walay bhai es hadees par ghhor karen:
Hazratِ e Sayeduna Abbu Darda رضي اللہ عنه se rivayet hai ke Rasool e Akram ﷺ nay farmaya: ”Banda jab laanat karta hai woh aasman ki taraf jati hai to wahan ke darwazay band kar diye jatay hain, Phir yeh zameen ki taraf lotti hai to zameen ke darwazay bhi band kar diye jatay hain aur ye dayen baen kahin se nikalney ki koshish karti hai, Jab koi rasta nahi paati to jis par bheji gayi woh ahal ho to os ki taraf lotti hai warna laanat bhejnay walay par wapas aati hai.”
(سنن ابی داؤد ،کتاب الادب ، رقم الحدیث ۴۹۰۵،ج۴،ص۳۶۱)
Allah Pak hamein es hawalay se bhi apni zabaan ki hifazat karne ki tofeeq ataa farmaye. Amen
hello,
mere husband se mera jhagda hua tha toh unhone muje laanat bheji aur kaha k tu jab jab mari maa k hath ka khana khayegi tab tab tujpe laanat hai . aur muje laant ye word sunke kuch feel hua but wo phir unhone bola maine gusse aisa boldiya