Kisi ko gaali dena kaisa hai?

Hazrat e Sayeduna Ibn e Masood رضی اللہ عنہ se marwi hai ke Sarkar e do Aalam ﷺ ne farmaya :” Musalman ko gaali dena fisq ( gunah ) hai.”
( مسلم،کتاب الایمان،رقم۱۱۶،ص۵۲ )

Hazrat Sayeduna Abdullah bin umro رضی اللہ عنہ se marwi hai ke Sarwar e Konain ﷺ ne farmaya :” Musalman ko gaali dena khud ko halakat mein daalnay ke mutradif hai.”
(الترغیب والترہیب ، کتاب الادب ، رقم الحدیث ۳، ج۳، ص۳۱۱)

Imam ahl e Sunnat Moulana Ahmed Raza Khan علیہ رحمۃ الرحمن farmatay hain :” Kisi musalman jaahil ko bhi be izan shara gaali dena haraam qatee hai.”
(فتاویٰ رضویہ ،ج۱۰،نصف اول ،ص ۱۴۰)

Allah Pak hamein es hawalay se bhi apni zabaan ki hifazat karne ki tofeq ataa farmaiye. Amen

WhatsApp Group (Join Now) Join Now
YouTube Channel (Subscribe Now) Subscribe
5/5 - (1 vote)

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *