Duniya mein sab se pehlay bad faeli shaitan ne karwai. Woh qaum e loot mein khoobsurat larke ki shakal mein aaya aur un logon ko apni janib mael kiya. Yahan tak ke gandah kaam karwanay mein kamyaab ho gaya aur eska un ko aisa chaska laga ke es buray kaam ke aadi ho gaye aur nobat yahan tak pohanchi ke aurton ko chorr kar mardon se apni khwahish poori karne lagey. [1]Mukashafa Tul Quloob, Page 76
Hazrat Loot علیہ السلام ne un logon ko is buray kaam se mana kiya aur kaha ke kya tum aisa kaam karte ho jo tum se pehlay kisi ne nahi kya. Tum aurton ko chorr kar mardon se apni shehwat poori karte ho. Tum log had se guzar gaye ho. Jab qaum e loot ki sar kashi aur bury kaam ki yeh khaslat hidaayat ke qabil nah rahi to Allah pak ka azaab aa gaya.
Hazrat Jibreel علیہ السلام chand firshton ke sath khoobsurat larkoon ki soorat mein mehman ban kar Hazrat Loot علیہ السلام ke paas puhanche. Un mehmanon ke husan o jamal ko dekh kar qaum ki badkaari ki khaslat ke khayaal se Hazrat Loot علیہ السلام nihayat fikarmand hue.
Qaum ki Buri Harkat
Thori dair baad qaum ke badkaaron ne Hazrat Loot علیہ السلام ke makaan ghair liya aur un mehmanon ke sath bad feli ke buray iraday se deewar par charhne lagey. Hazrat Loot علیہ السلام ne nihayat dard mandi ke sath un logon ko samjhaya magar woh apne buray iraday se baz nah aaye. Aap علیہ السلام ko fikarmand aur ranjida dekh kar Hazrat Jibreel علیہ السلام ne kaha: Ae Allah ke Nabi! Aap ghamgeen nah hon, hum farishtay hain aur en badkaaron par Allah pak ka azaab le kar utre hain.
Lehaza Aap mominen aur apne ghar walon ko sath le kar subah honay se pehlay pehlay es bastii se dour nikal jayen aur khabardaar! Koi shakhs peechay murr kar basti ki taraf nah dekhe warna woh bhi es azaab mein giraftar ho jaye ga.
Qaum e loot par azab
Hazrat Loot علیہ السلام apne ghar walon aur mominon ko sath le kar basti se bahar tashreef le gaye. Phir Hazrat Jibreel علیہ السلام es shehar ki paanchon bastiyon ko apne paron par uttha kar aasman ki taraf buland hue aur kuch oupar ja kar un bastiyon ko zameen par ulat diya. Phir un par es zor se pathron ki barish hue keh qaum e loot ki laashon ke bhi parkhachay urr gaye.
Osi waqt jab ke yeh shehar ulat pulat ho raha tha Hazrat Loot علیہ السلام ki aik biwi jis ka naam “واعلہ” tha jo ke dar haqeeqat munafiqa thi aur qaum ke badkaaron se mohabbat rakhti thi os ne peechay murr kar daikh liya aur os ke moun se nikla : Haae ray meri qaum! Yeh keh kar khari ho gayi phir azab e Ellahi ka aik pathar os ke oopar bhi gira aur woh bhi halaak ho gayi. Badkaar qaum par barsaye jane walay har pathar par os shakhs ka naam likha tha jo os pathar se halaak hua. [2]Tafseer e Sawi, Jild 2, Page 691
Qaum ka Ek Tajir
Esi douran Hazrat Loot علیہ السلام ki qaum ka aik tajir os waqt karobar ki wajah se makkah aaya hua tha. Os ke naam ka pathar wahen pohanch gaya magar firshton ne yeh keh kar rok liya ke yeh Allah pak ka haram hai. To woh pathar 40 din tak haram ke bahir zameen o aasman ke darmiyan latka raha jaise hi woh tajir farigh ho kar makkah se nikal kar haram se bahir hua to woh pathar os par gira aur wo wahen halaak ho gaya. Yaad rakhen : “Jo kisi larke ka (shehwat ke sath ) bosa le ga woh 500 saal Jahannum ki aag mein jalaya jaye ga.” [3]Mukashafa Tul Quloob, Page 76
Yahan tak ke Aap ﷺ ne irshad farmaya : “Tum ya to apni nigahen neechi rakho gay aur apni sharamgahon ki hifazat karo gay ya phir Allah pak tumhari shaklain bigarr day ga.” [4]الْمعجم الکبیر للطبرانی ج۸ ص۲۰۸حدیث۷۸۴۰
Allah pak ki panah. Khudara is aag se bachen. Amrad ka qurb, os ki dosti os ke sath mazaaq maskhari, aapas mein kushti, khicha tani aur lipta lipti jahannum mein jhonk sakti hai. Amrad say dour rehne hi mein salamti hai.
Hawala Jaat