Ye aik aham kahavat hai jo Urdu mein istemal hoti hai keh “Sabr ka phal meetha hota hai”. Yeh kahavat hamein yeh sikhati hai keh musibat aur intezar ke baad aane wala nateeja meetha hota hai. Yeh kahawat hamari zindagi mein ek ahem ahmiyat rakhti hai, aur iska ta’aruf aur mafhoom samajhna zaroori hai.
Insan Ki Zindagi
Insan ki zindagi aksar mukhtalif haalaat, waqiat aur ghatnayon se bhari hoti hai. Zindagi hamesha aik hi halat par nahi rehti. Kabhi khushi, to kabhi gham. Musibat ke waqt, jab zindagi asaan nahi hoti, tab sabr hamara madadgar sabit ho sakta hai. Khushi ki halat mein, Allah pak ka shukr ada karnay ka waqt hota hai, jabke gham ki halat mein sabr ka waqt aata hai.
Sabr Ki Ta’areef
Sabr yeh hai keh insan woh kaam na kare jis se uski aqal ya shariah usay rok rahi hai. Yeh nai hai keh jab aapko chahiye tha ke kuch na karein us waqt aap shikwa shikayat kar rahe the, aur jab ghusa thanda ho gaya, to aap kehte hain, “Main to bas sabr kar raha hoon.”
Yaad rakhen yeh museebat aur azmaishen aik musalman ke liye imtehan hain ya gunahon ka kaffara hain ya darjaat ko buland karne ka zariya hain. Bas yeh kuch ghante, kuch lamhe, kuch din hain, jo guzar jayenge, ghum ke badal chale jayenge, phir Allah pak insan ke halaat ko badal dega.
Qur’an Mein Irshad
Qur’an-e-Majeed mein Rabb-ul-‘Izzat ka irshad hai:
Tarjuma : Bay shak dushwari ke sath aasani hai. [1]Alam Nashrah, 6
Isliye sabr karein aur Allah pak se dua karein. Isi hi ki taraf ruju’ karein ke woh aap par rahmat-o-karam ke khazane khol dega.
Sabr Ka Buland Martaba
Kitni bhi badi museebat aap aaye, lekin uski shakl se mehsoos nahi hota ke yeh musibat zada hai ya kisi mushkil mein hai. Yeh sabr ka sab se buland aur afzal darja hai.
Sabr Ka Phal
Museebaton aur imtehanon ko bardasht karne se bohot saary deeni aur duniyavi faiday hote hain. Agar baat faiday ki hai to aap Allah pak ki khushi hasil karenge, aapne pyare Rasool ﷺ ki sunnat par amal hoga, jannat milegi, khud aitmadi aaygi, aapka hosla barhega.
Sabr Na Karne Ke Nuksanat
Logon ke nazariye mein aapki ijaat gir jati hai, aap mental pressure aur depression ka shikar ho jate hain. Dost chale jate hain, rishte toot jate hain, gunahon mein gir jate hain. Larai Jhagde shuru ho jate hain, aise mein samaj bigad jata hai, halat kharab ho jate hain.
Upar di gayi cheezen ke alawa bhi sabr na karne ke bohot se nuksanat hain aur sabr karne se bohot se faiday hain. Isliye hamesha sabr se kaam lein, kyunki es se nuksanat se bacha ja sakta hai aur hazaar faiday milte hain, jiko hum phal ka naam dete hain aur woh haqiqatan meethay hote hain.
Allah pak humein sabr aur istiqamat ata farmaye. Ameen.
Hawala Jaat