Aaq karna darasal os aulaad ke liye bola jata hai keh jisay maan baap nafarman qarar day kar haqooq e wirasat se mahroom kar den. English mein esay “Disinheriting” kehte hain. Baaz loog apni aulaad ke baray mein yeh keh dety hain keh main ne esko aaq kar diya aur eska matlab yeh khayaal kiya jata hai keh ab woh aaq ki hui aulaad baap ke marnay ke baad uski meeras se hissa nahi paye gi.
Jabkeh yeh aik bekar baat hai aur aaq karna koi cheez nahi hai aur nah baap ke yeh alfaz bolnay se uski aulaad jaedad mein hissay se mahroom ho gi. Balkay woh badastoor baap ki mout ke baad uskay maal mein say hissay ki haqdaar hai. Haan maan baap ki nafarmani aur un ko takleef dena barra gunah hai aur jis ke walidain os se nakhush hon woh dono jahan mein saza o azaab e Ellahi ka haqdaar hai, aur sakht mahroom hai.
Bahar haal aaq karna shariyat mein koi cheez nahi aur nah hi es se Wilayat khatam hoti hai. Yani aulaad phir bhi wirasat mein apna hissa paye gi.( 1 )