Hazrat Mahmood bin Lbaid رضی اللہ عنہ se marwi hai keh Rehmat e Konain ﷺ ko khabar di gayi keh 1 shakhs ne apni biwi ko teen talaqain akathi di hain. Yeh suntay hi Huzoor ﷺ ghazab naak ho kar kharray ho gay phir farmaya :
“Allah pak ki kitaab ke sath khail kiya jata hai halan keh main tumahray andar mojood hon.”
(نسائی،کتاب الطلاق،ج۳،ص۱۴۲ )
Es se maloom hua keh yakbargi teen talaqain dainee haraam hain. Mirqat mein isi hadees ke tehat hai.
الحدیث یدل علی ان التطلیق بالثلث حرام لانہ صلی اللہ تعالی علیہ وسلم لا یصیر غضبان الا بمعصیۃ الخ
Yani yeh hadees is baat par Dalalat karti hai ke teen talaqain aik sath dena haraam hai kyun keh Sarwar e Aalam ﷺ gunah ke kaam par hi narazgi ka izhaar farmatay thay.
(انوار الحدیث ص۲۶۳)
Allah Pak hamein es hawalay se apni zaban ki hifazat karne ki tofeeq atta farmaye. Aamen