Hazrat Bureda رضی اللہ عنہ se marwi hai keh. Rehmat e Konain ﷺ ne farmaya :
” Jo kisi shakhs ki biwi ko os ke khilaaf bharkaye woh hum mein se nahi hai.”
(الترغیب والترہیب،کتاب النکاح،رقم۱، ج۳،ص۵۹)
Shetan ka pasandeda amal shohar aur biwi ko larwana
Mulahiza ho keh. Sarkar e do Aalam ﷺ ki taraf se napasandeedah qarar diya jaaney wala yeh amal shetan ko kis qader pasand hai. Chunancheh Hazrat Syedna Jabir رضی اللہ عنہ se rivayat hai keh Sarwar e Aalam ﷺ ne farmaya :
“Shetan pani par apna takhat bichata hai, phir apne lashkar bhejta hai. Un lashkaron mein iblees ke ziyada qareeb os ka daraja hota hai jo sab se ziyada fitnah baaz hota hai. Aik lashkar wapas aa kar batata hai keh. Main ne fulan fitnah barpaa kiya to shetan kehta hai : ” Tunay kuch bhi nahi kya.” Phir aik aur lashkar aata hai aur kehta hai : ” Main ne aik aadmi ko os waqt tak nahi chorra jab tak os ke aur os ki biwi ke darmiyan judai nahi daal di. ” Yeh sun kar iblees usay apne qareeb kar laita hai aur kehta hai. “Tu kitna acha hai.” Aur apne sath chimta laita hai.” [1]الترغیب والترہیب،کتاب النکاح،رقم۳،ج۳،ص۵۹
Hawala Jaat