Aik Aurat ka Allah par Bharosa

Allah par Bharosa

Aik Zahid shakhs ka bayan hai ke mein hajj karne ke liye apne ghar se rawana hua. To main ne rasty mein aik aurat dekhi jo baghair zade raah aur sawari ke paidal Allah par bharosa kar kay chalti ja rahi thi. Aur zikar e Ellahi mein masroof thi.

Allah par bharosa

Main ne os ke qareeb ho kar kaha : Ae Allah ki bandi kahan jane ka iradah hai ?. Woh boli : Allah ke ghar khanah kaaba mein. Main ne kaha : Tumahray paas safar ka samaan aur sawari nahi dekh rahi. Woh boli : Agar tum mein se koi shakhs dawat pakaye aur logon ko bulaye.

Kya os ke mehmanon ke liye yeh baat achi ho gi keh woh apna khana sath layein. Main ne kaha : nahi. Phir os aurat ne kaha : Allah pak ki ziyafat es se ziyada haq rakhti hai. Phir woh hamaray sath aayi aur pathreli zameen par utri aur kehti thi : Mery Rab ka ghar kahan hai? Os se kaha gaya ke abhi thori der baad to usay dekh le gi.

Jab woh masjid haraam daakhil hui to Os se kaha gaya ke yahi tairay Rab ka ghar hai. Os ne apna sar kaaba ki chokhat par rakha aur baar baar yeh kehti thi : Yeh mery Rab ka ghar hai. Yahan tak ke oski aawaz baith gayi. Jab hum ne oski taraf dekha to woh faut ho chuki thi.

WhatsApp Group (Join Now) Join Now
YouTube Channel (Subscribe Now) Subscribe
5/5 - (1 vote)

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *