Logon ko gunahon par ubharna apne sar par gunahon ka ambaar laadnay ke mutradif hai. Jaissa keh Rasool e Akram ﷺ ney farmaya :
” Jis ney kisi ko gumraahi ki dawat di usay os gumraahi ki pairwi karne walon ke barabar gunah hoga aur un ke gunahon mein kami nah hogi.
(صحیح مسلم،کتاب العلم، باب من سن حسنۃ الخ ،ص۱۴۳۸،رقم:۲۶۷۴)
Ilawa azeen Quran e Majeed Furqan e Hameed mein esay munafiqeen ki nishani qarar diya gaya hai. Chunancheh irshad Rabbani hai:
” اَلْمُنٰفِقُوْنَ وَالْمُنٰفِقٰتِ بَعْضُھُمْ مِّنْم بَعْضٍ یَأْ مُرُوْنَ بِالْمُنْکَرِ وَیَنْھَوْنَ عَنِ الْمَعْرُوْف
Tarjama e Kanz ul Iman : Munafiq mard aur munafiq aurtain aik theli ke chatay battay hain buraii ka hukum den aur bhalai se mana karen.
(پ۱۰،التوبۃ:۶۷)
Social Media mein Burai
Wo hazrat ghor karen. Jo social media par gunahon sey bhari videos, pics aur tehreren waghera bhejtey aur share karty hen. Zara sochen aap ne jo burai share ki usko dekhne waly ko to gunah mily hi ga. Sath hi sath aapko bhi tab tak gunah milta rahy ga jab tak wo share hoti rahi aur osy jitne log dekhtey rahe.
Agar aap bhi aesi kisi aadat mein mubtila hen to foran os sey toba karen. Aur agar aap ke koi janney waly bhi aesi kisi aadat mein mubtila hen to. Osy bhi hikmat e amli ke sath es gunah sey toba karne ki talkeen karen.
Allah Pak hamein es hawalay se bhi apni hifazat karne ki aur neki ki raah par chalne ki tofeeq atta farmay. Amen