Baaz log sakht lehja mein guftagu karne ko baais e Iftikhar tasawwur karte hain. Halaan keh Allah Pak ke mehboob danaye gayub ﷺ ne esay aib qarar diya hai. Aur narmi ki targheeb dilae hai. Chunancheh
Umm ul-momineen Hazrat Ayesha Sadiqa رضی اللہ عنہا se rivayat hai keh Rasool Allah ﷺ ney farmaya :
” Narmi jis cheez mein hoti hai usay zeenat bakhshti hai aur jis cheez se narmi cheen li jati hai usay aib daar kar deti hai.”
(صحیح مسلم ،کتاب البروالصلۃ، با ب فضل الرفق، رقم ۱۲۵۹۴، ص ۱۳۹۸)
Hazrat e Syedna Abbu Darda رضی اللہ عنہ se rivayat hai ke Rasool Allah ﷺ ney farmaya :
“Jisay narmi mein se hissa diya gaya usay bhalai mein se hissa diya gaya aur jo narmi ke hissay se mahroom raha woh bhalai mein apne hissay se mahroom raha.”
(ترمذی، کتاب البر والصلۃ، باب فی الرفق، رقم ۲۰۲۰، ج۳، ص ۴۰۸)
Allah Pak hamein es hawalay se apni zabaan ki hifazat karne ki tofeeq atta farmay. Amen