is se morad aesi sifarish hai jis ke zariye kisi sharai saza ke nifaz ko roknay ki koshish ki jaye. Jaisa keh Hazrat e Syedna Ibn Umar رضی اللہ عنہ se riwayat hai keh Nabi e Akram ﷺ ne irshad farmaya :” Jiski sifarish Allah ki hudood paar kar jaye os ne Allah ki mukhalfat ki.”
(مستدرک ، کتاب الحدود، باب من حالت شفاعتہ الخ،رقم الحدیث۸۲۱۸، ج۵،ص۵۴۶)
Rab farmata hai:
Tarjama e Kanz ul Iman : “Aur jo buri sifarish kare us ke liye us mein se hissa hai.”
(پ ۵،النسآء:۸۵)
Hazrat Ayesha Sadiqa رضی اللہ عنہا farmaati hain keh. Aik makhzuma aurat nay chori ki to Quresh soch o bichaar karne lagey keh Sarwar e Aalam ﷺ se uski sifarish kon kare? Bil aakhir Hazrat Osama bin Zaid رضی اللہ عنہ ka intikhab hua. Keh yeh Huzoor ke mehboob hain yeh baat kar saktay hain. Hazrat Osama رضی اللہ عنہ nay jab aap ﷺ se os aurat ki sifarish ki to Sarwar e Aalam ﷺ nay farmaya :” Kya tum Allah ki hudood mein sifarish karte ho?”
Phir kharray hue aur khutba diya :” Ae logo! Tum se pichlle log esi liye halaak hue keh un mein sahib mansab chori karta to usay chore diya jata aur agar ghareeb chori karta to os par hadd qaim ki jati, Khuda ki Qasam! Agar Fatima Bint Mohammad bhi chori karti to main os ka haath kaat deta.”
(مسلم ، کتاب الحدود، باب قطع السارق الشریف وغیرہ،،رقم الحدیث۱۶۸۸،ص۹۲۷)
Allah Pak hamein es hawalay se bhi apni zabaan ki hifazat karne ki tofeeq atta farmaye. Amen