Isay doghla pan bhi kaha jata hai. Is se morad yeh hai keh. Insan do dushmanon ke darmain lagai bujhai kare yani jis ke paas jaye osi ki himayat mein bolay. [1]Ihya ul Uloom jild 3, Page 195
Hazrat Amaar bin Yasir رضی اللہ عنہ se rivayat hai keh Sarwar e Aalam ﷺ ne farmaya :” Jo duniya mein doghla pan ikhtiyar kare to rozِ e qayamat uski aag ki do zubanain hongi.”
Jabkeh Hazrat Abu-Hurera رضی اللہ عنہ se marwi hai keh Sarkar e do Aalam ﷺ ne farmaya :” Tum roz-e-qayamat bad tareen shakhs usay pao ge jo do rukha hoga keh aik ki baatein dosray ko aur dosray ki pehlay ko pohanchaye ga.” [2]Bukhari: 3494
Allah Pak hamein es hawalay se bhi apni zabaan ki hifazat karne ki tofeeq atta farmay. Amen
Hawala Jaat