Imam e Ahal e Sunnat Moulana Ahmed Raza Khan علیہ رحمۃ الرحمن nay saaz ke sath gaaye jaaney wala murawaja ganay ko haraam qarar diya hai.
(فتاویٰ رضویہ ،ج۱۰،ص۵۴)
Be shumaar kharabion ke is majmuae ko modern mufakkir rooh ki ghiza qarar dete hain. Halaan keh is ka shumaar lahav o lab mein hota hai. Jis ki Quran e Majeed mein muzammat bayan ki gayi hai. Chunacheh irshad hota hai:
(پ ۲۱،لقمٰن:۶ )
Jabkeh Hazrat e Ibn Masood رضی اللہ عنہ se riwayat hai keh. Nabi e Kareem ﷺ nay irshad farmaya :” Gana nifaq ko aesy ogata hai jaisay pani ghaas ogata hai.”
(کنزالعمال، کتاب اللہو واللعب ، رقم الحدیث ۴۰۶۵۱، ج۱۵، ص۹۵)
Aur … Hazrat Abbu umama رضی اللہ عنہ se riwayat hai keh Sarwar e Konain ﷺ nay farmaya :” Jab banda gaata hai Allah os par 2 shetan musallat kar daita hai jo uskay kaandhon par baith kar os ke chup honay tak apni aerrion se os ke seenay par maartay rehtay hain.”
Is Hadees pak ko pesh e nazar rakha jaye to ganay walon ki uchhal kood aur be hangam harkaat o saknat ki wajah ba aasani samajh mein aa sakti hai.
Allah Pak hamein es hawalay se bhi apni zabaan ki hifazat karne ki tofeq ataa farmaiye. Amen