Hazrat Ibn Abbas رضی اللہ عنہ se marwi hai keh. Huzoor Anwar ﷺ ney farmaya :” Jo imam ke khutba dete waqt kalaam kare uski misaal os gadhay ki hai jo boojh uthata hai aur jo baat karne walay ko chup rehne ka kahey uska jummah ( kaamil ) nahi hoga.”
(الترغیب والترہیب ، کتاب الجمعۃ ، الترہیب من الکلام والامام یخطب، رقم الحدیث۳،ج۱،ص۲۹۲)
Hazrat Abbu Huraira رضی اللہ عنہ se riwayat hai keh. Madani Tajdar ﷺ ney farmaya :” Imam ke khutba dete waqt tumhara kisi ko kehna ”chup raho” laghv hai.”
(صحیح البخاری ، کتاب الجمعۃ ، باب الانصاتِ یوم الجمعۃ والامام یخطب ، رقم الحدیث۹۳۴،ج۱،ص۳۲۱)
Allama Allao deen Haskafi علیہ الرحمۃ farmate hain : “Khutba mein khana piinaa, kalaam karna agarcheh سبحان اللہ kehna, salam ka jawab dena ya neki ki baat batana haraam hai.”
(درمختار مع ردالمحتار ،ج۳،ص۳۵)
Allah Pak hamein es hawalay se apni zabaan ki hifazat karne ki tofeeq atta farmay. Amen