Islam mein Hafiz e Quran ka muqam intehai uncha hai. Quran ko hifz karna sirf ek amal nahi, balke Allah ki taraf se ek khaas inaam hai. Jo shaks Allah ke kalam ko dil aur zehan mein mehfooz rakhta hai, uska maqam duniya aur akhirat dono mein uncha hota hai. Rasool Kareem ﷺ ne farmaya: “Tum sab mein behtareen woh hai jo Quran Majeed parhta aur parhata hai.” [1]Sahih Bukhari, 4937
Akhirat Mein Hafiz e Quran Ka Ajar
Qiyamat ke din Hafiz e Quran ke liye Allah ka khaas inaam hoga. Hadees-e-Mubarak hai:
“Quran ke Hafiz ko kaha jayega ke Quran parho aur darjat par charho. Tumhara maqam wahan hoga jahan tumhari tilawat khatam hogi.” (Tirmizi, 2914)
Is ajar se yeh baat saaf hoti hai ke Hafiz e Quran ka maqam akhirat mein sab se buland hoga. Sirf unhein nahi, balke unke walidain ko bhi izzat ka taj pehnaya jayega.
Hifz Ka Amal Mushkil Magar Barkat Wala
Quran ko hifz karna ek sabr aur mehnat talab amal hai. Har roz Quran ko dohrana aur us par amal karna asaan nahi hota. Lekin Allah un logon ki madad karta hai jo uske kalam ko yaad karte hain. Hafiz e Quran ka dil aur zehan roshni se bhar jata hai aur woh maashray mein rehnumai ka sabab bante hain.
Nabi Kareem ﷺ ke ek aur irshad ka mafhoom hai:
“Jo Quran parhta hai aur woh iska Hafiz bhi hai, us shakhs ki misaal mukarram aur naik farishton jaisi hai. Aur jo shakhs Quran Majeed baar baar parhta hai aur phir bhi uske liye mushkil hai, to usay dugna sawab milega.” (Sahih Muslim, 6314)
Hafiz e Quran Aur Maashray Par Asar
Hafiz e Quran maashray ke liye roshni ka zariya hain. Woh Quran ke paighamat ko aam karte hain aur logon ko Allah ke qareeb laate hain. Hafiz ke zariye masajid aur madaris mein ilm aur hidayat failti hai, jo maashray ki islaah ka sabab banti hai.
Hafiz e Quran ban’na ek azeem maqam hai jo dunya aur akhirat dono mein kamiyabi dilata hai. Quran ki hifazat Allah ki taraf se ek badi zimmedari hai, aur jo log is zimmedari ko nibhate hain, unka maqam Allah ke nazdeek behtareen hota hai. Har Musalman ko chahiye ke woh Quran ke sath apna taalluq mazboot kare aur iski taleem ko apni zindagi mein aam kare.
Hawala Jaat