Jhooti Gawahi

Jhooti gawahi dena kaisa hai? Jhooti Gawahi

Kisi ke khilaaf jhooti gawahi dena haram aur jahannum mein le jaanay wala kaam hai, Es ki muzammat karte hue Hazur Nabi e Kareem ﷺ ney aik martaba subah ki namaz parhnay ke baad teen martaba farmaya :” jhooti gawahi, shirk ke barabar hai, phir yeh aayat mubarikah tilawat farmai:

فَاجْتَنِبُوا الرِّجْسَ مِنَ الْاَوْثَانِ وَاجْتَنِبُوۡا قَوْلَ الزُّوۡرِ ﴿ۙ۳۰﴾

Tarjuma e Kanz ul Eman : Tu dour ho buton ki gandagi se aur bacho jhooti baat se.[1]پ ۱۷،الحج:۳۰

Aik maqam par teen martaba irshad farmaya : “Sun lo ! tumhen sab se bary gunahon ke bary mein batata hon.

  1. Shirk
  2. Waldain ki nafarmani
  3. Jhooti gawahi”[2]صحیح البخاری ، کتاب الادب ، رقم :۵۹۷۶،ج۴،ص۹۵

Lehaza! Jab bhi kisi muamlay mein gawahi dainay ki zarurat paish aaye to sachhi gawahi hi deeni chahiey. Allah تعالیٰ hamein is hawalay se bhi apni zabaan ki hifazat karne ki tofeq ataa farmay. Amen

5/5 - (1 vote)

Hawala Jaat[+]

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *