Bila saboot e sharai kisi musalman par ilzam e gunah jaiz nahi bil khusoos kisi par zina ka ilzam lagana. Jis ki sharai saza yeh hai keh. Agar kisi par zina ka ilzam laganay wala agar apne dawey ko sharan sabit nah kar sakay. To usay ۸۰ korray lagaye jayen. Allah تعالیٰ irshad farmata hai:
وَالَّذِیۡنَ یَرْمُوۡنَ الْمُحْصَنٰتِ ثُمَّ لَمْ یَاۡتُوۡا بِاَرْبَعَۃِ شُہَدَآءَ فَاجْلِدُوۡہُمْ ثَمٰنِیۡنَ جَلْدَۃً وَّ لَا تَقْبَلُوۡا لَہُمْ شَہَادَۃً اَبَدًا ۚ وَ اُولٰٓئِکَ ہُمُ الْفٰسِقُوۡنَ ۙ﴿۴﴾
Tarjama e kanz ul Eman : “Aur jo paarsa aurton ko aib lagayen phir 4 gawah muaina ke nah layen to unhen 80 korray lagao aur un ki koi gawahi kabhi nah maano aur wohi fasiq hain.”
(پ۱۸،النور:۴)
Note : Es masley ki tafseel ke liye Bahar e Shariat hissa 9 ka mutala farmaen.
Allah Pak hamein is hawaley sey bhi apni zaban ki hifazat karne ki tofeeq ataa farmay. Amen