Baaz logon ki aadat hoti hai ke woh har dil aziz ban’nay ke chakkar mein ya kisi aur gharz e fasid ke liye jhutay khawab gharr kar sunatay hain jo ke najaaiz hai, Jaisa keh:
Huzoor Nabi e Kareem ﷺ ne farmaya: “3 shakhs jannat ki khushbu se mahroom hon ge (1) Apne baap ke ilawa dusray se nasab ka daawa karne wala (2) Mujh par jhoot bandhnay wala (3) Jhoota khawab sunanay wala.”
(فیض القدیر شرح الجامع الصغیر ، رقم الحدیث ۳۵۳۲،ج۳،ص۴۳۱)
Hazrat Ibn e Abbas رضی اللہ عنہ se riwayat hai ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya: “Jo jhoota khawab sunaye usay jow ke 2 danon mein ganth laganay ki takleef di jaye gi jo yeh nahi kar sakay ga”.
(صحیح البخاری ، کتاب التعبیر ، رقم الحدیث ۷۰۴۲،ج۴،ص۴۲۲)
Lehaza! Agar koi es Aadat e bad mein mubtila ho to fori tor par tauba kary aur ayendah ke liye jhutay khawab gharr kar sunanay se baz rahay. Allah Pak hamein es hawalay se bhi apni zabaan ki hifazat karne ki tofeeq ataa farmaiye. Amen