Pakistan mein kul 6 barry darya hen. Jab k sab say barra darya Indus River (Darya e Sindh) hai. Ye janoobi asia ka sab se bara darya hai. Jo duniya ke barray daryaaon mein se aik hai. Es ki lambai 2000 hazaar Mile ya 3200 KM hai. Es ka total nikasi aabb ka ilaqa 450, 000 murabba Mile ya 1, 165, 000 murabba KM hai.
Jis mein se yeh pahari ilaqa ( Qraqrm, Himalaya aur Hindokesh ) mein 175, 000 murabba mile ya 453, 000 murabba KM behta hai aur baqi Pakistan ke maidanon mein behta hai. Cheeni ilaqay tibbet mein himalaya ka aik zille pahari silsila keelash hai.
Keelash ke darmiyan keelash naam ka aik pahar bhi hai jis ke kinare par jheel mansaroor (مانسرور) hai. Jisay darya e Sindh ka manba mana jata hai. Es jheel mein se darya e Sindh samait bar e sagheer mein behnay walay 4 aham darya nikaltay hain.