Urdu mein Nabatat say murad “Pouday, Sabzian, Jari bootiyan” waghera hoty hen. Science ki dunya mein eski branch ka naam “Botany” hai. Ye bhi apni jaga par alag say ek dunya hai aur Qudrat ka ek shahkar hai. Allah pak ki qudrat ke nazare har chez mein dekhnay ko mlitay hen. Agar aalam e nabatat ki baat ki jaye to kaseer qudrat ki nishaniyan is mein mojood hain. Imam Shafi aik martaba shehtoot ke darakht ke paas kharray thay. Aik ghair muslim aaya aur Allah ke wujood par Daleel mangnay laga.
Imam Shafi علیہ الرحمۃ ne os se farmaya keh yeh shehtoot ka darakht hai. Jab es se oount [1]Camel charte hain to is se doodh bantaa hai. Shehad ki makhi [2]Honey Bee uskay panno ko chaatti hai to shehad banati hai. Resham ka keera [3]Silkworm is se khata hai to resham banata hai aur agar hiran [4]Deer is se khati hai to uskay naaf mein mushk bantaa hai. To kaisay is darakht se mukhtalif assar o fawaid haasil kiye jatay hain?
Halaank aqal yeh kehti hai keh aik she ki aik taseer hoti hai. Bil aakhir aqal ko yeh tasleem karna parta hai keh muaser haqeeqi koi aur zaat hai jo Allah Rab ul Ameen hai.
Koi to hai jo nizam e hasti chala raha hai, Wohi Khuda hai
Dikhayi bhi jo nah day, Nazar bhi jo aa raha hai Wohi Khuda hai[5]Muzaffar Warsi
Qudrat ke Nazare
Isi terhan agar zameen mein daaley jane walay beej ya danay ko dekhen ke kaisay matti mein daalnay ke baad is sakht beej o danay mein se aik naram konpal nikalti hai. Phir yeh naram o naazuk konpal jiski haalat yeh ho keh taiz hawa se gir jaye. Haath mein pakarney se murjhaa jaye. Woh kaisay sakht se sakht zameen ko cheer kar oopar nikal aati hai. Kahan se is mein itni qowat aati hai.
Phir jab darakht barra ho jata hai to panno mein haryali aur phoolon, phalon mein mukhtalif rang kahan se aatay hain aur kamaal yeh keh zameen, pani aur adwiyaat mein se kisi mein bhi mithaas nahi hoti to phalon mein mithaas kahan se aati hai.
Isi terhan phoolon mein khushbu kahan se aati hai aur is terhan ke kayi mushahdat hamein batatay hain keh koi to hai jo in beejon ko pouday aur poudoun ko phal, phool, rang, khushbu aur mithaas deta hai. Yeh sab mery Rab ki Qudrat ke nazare hain. Jo uski wahdaniyat aur wujood ki daleelen hain.
Hawala Jaat