Pul e Sirat ka Manzar aur Rasta | Jannat mein jaane ka rasta

Pul sirat ka rasta

Jahannum ke oopar aik pull hai is ko “Sirat” kehte hain. Woh baal se ziyada bareek talwar se ziyada taiz hai. Sab ko os par guzarna hai. Jannat ka yahi rasta hai. Is pull par guzarnay mein logon ki haalat judaghana hogi jis darjaa ka shakhs hoga os ke liye aesi hi aasani ya dushwari hogi.

Baaz to youn guzar jayen ge jaisay bijli kond gayi. abhi idhar they, abhi odhar puhanche. Baaz hawa ki terhan, baaz taiz ghoray ki terhan, baaz aahista aahista, baaz girtay parte laraztay langrate aur baaz jahannum mein gir jayen ge. Kafir ke liye barri hasrat ka waqt hoga jab woh pull se guzar nah saken ge aur jahannum mein gir parrin ge aur imaandaron ko dekhen ge ke woh isi pull par bijli ki tarhan guzar gaye ya taiz hawa ki tarhan urr gaye ya taiz raftar ghoray ki tarhan daurr gaye.

Pul Sirat

Pul Sirat ka rasta ye jahannam ki pusht par hai. Aur es par se sub ko guzarna hai. Har koi apne amal k mutabiq hi es par sey guzar pay ga. Es ki mukhtalif surten hen jo es video mein batai gai. Jis k jaise aamal. Jab Pul Sirat se guzarne ka waqt hoga to os waqt kuffar ki kya kafiat hogi. Ye bhi es video mein bayan kia gaya hai. Khud bhi es video ko dekhen aur ziada se ziada es video ko Sadqa e Jaria ki niyat se share bhi karen. Jitne log es video ko dekhen gey aapko bhi unka sawab milta rahe ga. Allah pak hamen amal ki taufeeq ata farmaye. Amen

4.5/5 - (2 votes)

2 thoughts on “Pul e Sirat ka Manzar aur Rasta | Jannat mein jaane ka rasta

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *